nannhi chizen
thā añdherā har taraf
raah bhī miltī na thī
ek nanhā sā diyā
raushan huā
aur añdherā chhaT gayā
ik musāfir raat ko
khā rahā thā Thokareñ
chāñd kī nannhī kiran
chhiTkī zarā
aur rasta mil gayā
thā pareshāñ der se
ek dahqāñ dhuup meñ
ek TukḌā abr kā
aayā vahāñ aur saaya ho gayā
baaġh meñ uḌtī thī dhuul
saare patte zard the
ek nannhī sī kalī
chaTkī jo kalī
muskurā uTThā chaman
na thā dil meñ valvala
zindagī ḳhāmoshī thī
ek nannhī sī hañsī
naġhma banī
khil uThī dil kī kalī
ek diyā
ek kiran
ek TukḌā abr kā
ik kalī
ek nannhī sī hañsī
haiñ nishān-e-zindagī
raushnī hī raushnī
tha andhera har taraf
rah bhi milti na thi
ek nanha sa diya
raushan hua
aur andhera chhaT gaya
ek musafir raat ko
kha raha tha Thokaren
chand ki nannhi kiran
chhiTki zara
aur rasta mil gaya
tha pareshan der se
ek dahqan dhup mein
ek TukDa abr ka
aaya wahan aur saya ho gaya
bagh mein uDti thi dhul
sare patte zard the
ek nannhi si kali
chaTki jo kali
muskura uTTha chaman
na tha dil mein walwala
zindagi KHamoshi thi
ek nannhi si hansi
naghma bani
khil uThi dil ki kali
ek diya
ek kiran
ek TukDa abr ka
ek kali
ek nannhi si hansi
hain nishan-e-zindagi
raushni hi raushni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.