nannhi munni chiDiyan
koī in ko pakaḌ nahīñ saktā
uḌ ke jaan apnī ye bachātī haiñ
baiTh kar alganī pe ḳhush ho kar
par khujātī haiñ dum hilātī haiñ
kaam ke vaqt kartī haiñ ye kaam
kaam se muñh nahīñ churātī haiñ
baiTh kar khūñTiyoñ pe chhīñkoñ par
apnī chuuñ chuuñ hameñ sunātī haiñ
khel ke vaqt kheltī haiñ ye
mil ke ūdham bahut machātī haiñ
jab basere kā vaqt hotā hai
ek tūfān sā uThātī haiñ
shaam ko jam.a ho ke peḌoñ par
ġhul machātī ḳhushī manātī haiñ
raat aur niiñd aatī hai jis dam
chupkī peḌoñ pe baiTh jaatī haiñ
phir paroñ meñ chhupā ke choñchoñ ko
niiñd ke ye maze uḌātī haiñ
uTh ke taḌke phir apnī chuuñ chuuñ se
apne mālik ke giit gaatī haiñ
koi in ko pakaD nahin sakta
uD ke jaan apni ye bachati hain
baiTh kar algani pe KHush ho kar
par khujati hain dum hilati hain
kaam ke waqt karti hain ye kaam
kaam se munh nahin churaati hain
baiTh kar khunTiyon pe chhinkon par
apni chun chun hamein sunati hain
khel ke waqt khelti hain ye
mil ke udham bahut machati hain
jab basere ka waqt hota hai
ek tufan sa uThati hain
sham ko jama ho ke peDon par
ghul machati KHushi manati hain
raat aur nind aati hai jis dam
chupki peDon pe baiTh jati hain
phir paron mein chhupa ke chonchon ko
nind ke ye maze uDati hain
uTh ke taDke phir apni chun chun se
apne malik ke git gati hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.