nannhi pari
mere ghar aa.ī ek nannhī parī
chāñdnī ke hasīn rath pe savār
mere ghar aa.ī ek nannhī parī
us kī bātoñ meñ shahd jaisī miThās
us kī sāñsoñ meñ itr kī mahkār
hoñT jaise ki bhīge bhīge gulāb
gaal jaise ki dahke dahke anaar
mere ghar aa.ī ek nannhī parī
us ke aane se mere āñgan meñ
khil uThe phuul gungunā.ī bahār
dekh kar us ko jī nahīñ bhartā
chāhe dekhūñ use hazāroñ baar
mere ghar aa.ī ek nannhī parī
maiñ ne pūchhā use ki kaun hai tū
hañs ke bolī ki maiñ huuñ terā pyaar
maiñ tire dil meñ thī hamesha hī
ghar meñ aa.ī huuñ aaj pahlī baar
mere ghar aa.ī ek nannhī parī
mere ghar aai ek nannhi pari
chandni ke hasin rath pe sawar
mere ghar aai ek nannhi pari
us ki baaton mein shahd jaisi miThas
us ki sanson mein itr ki mahkar
honT jaise ki bhige bhige gulab
gal jaise ki dahke dahke anar
mere ghar aai ek nannhi pari
us ke aane se mere aangan mein
khil uThe phul gungunai bahaar
dekh kar us ko ji nahin bharta
chahe dekhun use hazaron bar
mere ghar aai ek nannhi pari
main ne puchha use ki kaun hai tu
hans ke boli ki main hun tera pyar
main tere dil mein thi hamesha hi
ghar mein aai hun aaj pahli bar
mere ghar aai ek nannhi pari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.