naqab jitne hain
Interesting Fact
2009
safar meñ pesh koī hādisa bhī mumkin hai
zarā se der meñ āh-o-bukā bhī mumkin hai
mirā vajūd kabhī be amaañ na ho jaa.e
ye jism mar ke kahīñ be-nishāñ na ho jaa.e
mirā pata na chale kuchh mirī ḳhabar na mile
guzar huā thā jahāñ se vo rahguzar na mile
shikār ho gayā jab marg-e-nā-gahānī kā
ḳhayāl aa.egā logoñ ko tab nishānī kā
naqāb jitne haiñ mere vo noch Dāleñge
parat utāreñge chehra kharoñch Dāleñge
yahī sabab hai ki jab bhī maiñ ghar se jaatā huuñ
kuchh ehtimām isī Dar se kar ke jaatā huuñ
na koī naqsh na tahrīr apnī rakhtā huuñ
maiñ apnī jeb meñ tasvīr apnī rakhtā huuñ
safar mein pesh koi hadisa bhi mumkin hai
zara se der mein aah-o-buka bhi mumkin hai
mera wajud kabhi be aman na ho jae
ye jism mar ke kahin be-nishan na ho jae
mera pata na chale kuchh meri KHabar na mile
guzar hua tha jahan se wo rahguzar na mile
shikar ho gaya jab marg-e-na-gahani ka
KHayal aaega logon ko tab nishani ka
naqab jitne hain mere wo noch Dalenge
parat utarenge chehra kharonch Dalenge
yahi sabab hai ki jab bhi main ghar se jata hun
kuchh ehtimam isi Dar se kar ke jata hun
na koi naqsh na tahrir apni rakhta hun
main apni jeb mein taswir apni rakhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.