naqsh-bar-ab
sāl-hā-sāl mohabbat jo banā kartī hai
rishta-e-qalb-o-nazar palla-e-resham kī tarah
ek jhoñkā bhī havādis kā use kaafī hai
pahlu-e-gul meñ dhaḌaktī huī shabnam kī tarah
ye mohabbat ke banā.e hue aivān-e-buland
ek Thokar bhī zamāne kī nahīñ sah sakte
ābgīne ye bahut nāzuk-o-nā-rustā haiñ
mauj kī god meñ tā-der nahīñ rah sakte
garm-raftār subuk-sair ke rahvār-e-hayāt
ārzūoñ ke gharauñde ko ye Dah de na kahīñ
talḳh-tar jaam ke hāthoñ meñ nizām-e-nau ke
ḳhvāb kī halāvat ko de na kahīñ
ishq ke haath meñ raushan hai jo nanhā sā diyā
aql kī tund havā us ko bujhā hī degī
tū ne dekhī hī nahīñ panja-e-usrat kī giraft
ruuh ko qaid-e-tamannā se chhuḌā hī degī
gal hī jā.egī kisī roz junūñ kī zanjīr
vaqt har ḳhvāb kī ta.abīr batā detā hai
karvaTeñ letā hai ehsās jo bedārī kā
loriyāñ de ke umañgoñ ko sulā detā hai
naqsh-bar-āb hai vābastagī-e-husn-o-shabāb
nik.hat-e-gul kī tarah ishq hai pāband-e-havā
is se behtar thā ki mujh se tujhe nafrat hotī
phuul murjhāte haiñ kāñTā nahīñ murjhā saktā
tiir nafrat kā rahā kartā hai dil meñ paivast
sham.a ye tīrgī-e-ġham meñ bhī tābinda rahe
dast-e-nafrat kī banā.ī huī dīvār-e-adā
sañg-o-āhan kī tarah puḳhta-o-pa.inda rahe
azm ho jā.eñge afsurda irāde maflūj
gosh lazzat-kash-e-gulbāñg-e-jalājil kyuuñ ho
manzileñ aur bhī kitnī haiñ mohabbat ke sivā
rūh-e-āzād giraftār-e-salāsil kyuuñ ho
sal-ha-sal mohabbat jo bana karti hai
rishta-e-qalb-o-nazar palla-e-resham ki tarah
ek jhonka bhi hawadis ka use kafi hai
pahlu-e-gul mein dhaDakti hui shabnam ki tarah
ye mohabbat ke banae hue aiwan-e-buland
ek Thokar bhi zamane ki nahin sah sakte
aabgine ye bahut nazuk-o-na-rusta hain
mauj ki god mein ta-der nahin rah sakte
garm-raftar subuk-sair ke rahwar-e-hayat
aarzuon ke gharaunde ko ye Dah de na kahin
talKH-tar jam ke hathon mein nizam-e-nau ke
KHwab ki halawat ko de na kahin
ishq ke hath mein raushan hai jo nanha sa diya
aql ki tund hawa us ko bujha hi degi
tu ne dekhi hi nahin panja-e-usrat ki giraft
ruh ko qaid-e-tamanna se chhuDa hi degi
gal hi jaegi kisi roz junun ki zanjir
waqt har KHwab ki tabir bata deta hai
karwaTen leta hai ehsas jo bedari ka
loriyan de ke umangon ko sula deta hai
naqsh-bar-ab hai wabastagi-e-husn-o-shabab
nikhat-e-gul ki tarah ishq hai paband-e-hawa
is se behtar tha ki mujh se tujhe nafrat hoti
phul murjhate hain kanTa nahin murjha sakta
tir nafrat ka raha karta hai dil mein paiwast
shama ye tirgi-e-gham mein bhi tabinda rahe
dast-e-nafrat ki banai hui diwar-e-ada
sang-o-ahan ki tarah puKHta-o-painda rahe
azm ho jaenge afsurda irade mafluj
gosh lazzat-kash-e-gulbang-e-jalajil kyun ho
manzilen aur bhi kitni hain mohabbat ke siwa
ruh-e-azad giraftar-e-salasil kyun ho
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 250)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.