naqsh-e-faryaadi
naqsh-e-faryādī
banā phirtā huuñ maiñ bāzār meñ
kāġhazī ik pairahan
bas DhūñDhtā-phirtā huuñ maiñ
par vo miltā hī nahīñ
kis tarah apnī shikāyat ke liye pahuñchūñ
bādshāh-e-vaqt ke darbār meñ
bādshāh bad-baḳht hai
har-vaqt rahtā hai madirā meñ asiir
ye madirā vo hai us ke zehn meñ hai jo bharī
is madirā ke hī kāran
us ne apne des ke logoñ ke
hulqūm tak haiñ kaaT Daale
aur sachche nek logoñ aur valiyoñ ke maqābir toḌ ke
nāliyāñ saḌkeñ banā diiñ
ab nihāyat faḳhr se kahtā hai vo
maiñ ḳhudā huuñ is zamāne kā
aur sab ko maar ke
zinda rahūñgā maiñ sadā
naam is kā maiñ kyā luuñ
sab jānte haiñ us kā naam
ai asadullāh ġhālib tum batāo
kyā karūñ
naqsh-e-faryaadi
bana phirta hun main bazar mein
kaghazi ek pairahan
bas DhunDhta-phirta hun main
par wo milta hi nahin
kis tarah apni shikayat ke liye pahunchun
baadshah-e-waqt ke darbar mein
baadshah bad-baKHt hai
har-waqt rahta hai madira mein asir
ye madira wo hai us ke zehn mein hai jo bhari
is madira ke hi karan
us ne apne des ke logon ke
hulqum tak hain kaT Dale
aur sachche nek logon aur waliyon ke maqabir toD ke
naliyan saDken bana din
ab nihayat faKHr se kahta hai wo
main KHuda hun is zamane ka
aur sab ko mar ke
zinda rahunga main sada
nam is ka main kya lun
sab jaante hain us ka nam
ai asadullah ghaalib tum batao
kya karun
- Book : Banam-e-Ghalib (Pg. 14)
- Author : Salahuddin Parvez
- Publication : Educational Publishing House, Aligrah (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.