naqsh-e-faryaadi
vaa.e nādāriyāñ haa.e majbūriyāñ
rasm-o-ādāb ke bas meñ hai zindagī
ġhair kī ho ke pardes jaatī ho tum
hasrat-o-yās-o-hirmāñ meñ Duubī huī
jaise shādāb sī jhiil meñ ik kañval
chaḌhte sūraj kī tezī se kumlā.e hai
yā ba-ahd-e-bahārāñ kisī ik sabab
jaise phūloñ se rañgat utar jaa.e hai
har sahelī tabassum-ba-lab hai magar
tum hī maġhmūm ho tum hī ḳhāmosh ho
jaise gulchīñ kā saare chaman-zār meñ
ik kalī par hī kuchh zulm ho dosh ho
ḳhāmushī sad zabān-o-bayāñ kī tarah
apnī duniyā ke dukh dard kahtī huī
phir bhī apnoñ se begāngī sī liye
vaqt kī dhaar par naav bahtī huī
vo udāsī ki hūroñ ko afsos ho
hoñ farishte bhī aisī fazā meñ ḳhajil
aur kis kis ko ai 'daur' ilzām duuñ
kuchh pasījā to hogā ḳhudā kā bhī dil
wae nadariyan hae majburiyan
rasm-o-adab ke bas mein hai zindagi
ghair ki ho ke pardes jati ho tum
hasrat-o-yas-o-hirman mein Dubi hui
jaise shadab si jhil mein ek kanwal
chaDhte suraj ki tezi se kumlae hai
ya ba-ahd-e-bahaaran kisi ek sabab
jaise phulon se rangat utar jae hai
har saheli tabassum-ba-lab hai magar
tum hi maghmum ho tum hi KHamosh ho
jaise gulchin ka sare chaman-zar mein
ek kali par hi kuchh zulm ho dosh ho
KHamushi sad zaban-o-bayan ki tarah
apni duniya ke dukh dard kahti hui
phir bhi apnon se begangi si liye
waqt ki dhaar par naw bahti hui
wo udasi ki huron ko afsos ho
hon farishte bhi aisi faza mein KHajil
aur kis kis ko ai 'daur' ilzam dun
kuchh pasija to hoga KHuda ka bhi dil
- Veeraniyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.