naqsh-e-jamil
talḳhī-e-kām-o-dahan duniyā se jo mujh ko milī
jhalkiyāñ us kī na aa.iiñ kuchh mirī tahrīr meñ
zulmat-e-buġhz-o-hasad chhā.ī rahī har-sū magar
ḳhud ko chamkāyā hai maiñ ne pyaar kī tanvīr meñ
ghir ke yuuñ nafrat meñ bhī ulfat kā huuñ naqsh-e-jamīl
jaise gautam-budh kī mūrat sāya-e-shamshīr meñ
talKHi-e-kaam-o-dahan duniya se jo mujh ko mili
jhalkiyan us ki na aain kuchh meri tahrir mein
zulmat-e-bughz-o-hasad chhai rahi har-su magar
KHud ko chamkaya hai main ne pyar ki tanwir mein
ghir ke yun nafrat mein bhi ulfat ka hun naqsh-e-jamil
jaise gautam-budh ki murat saya-e-shamshir mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.