naqsh-e-mohabbat
vo parda rū-e-pur-anvār se uThā na sake
ham apne so.e hue baḳht ko jagā na sake
taḌap taḌap ke to bismil ne jaan tak de dī
vo āb-e-teġh ke do ghūñT bhī pilā na sake
hamārī un kī mohabbat rahī isī sūrat
udhar baḌhā na sake ham idhar ghaTā na sake
hazār valvale maujūd the tabī.at meñ
magar jab un se milī aañkh bhī milā na sake
nazar milāte hī saaqī ne kar diyā be-ḳhud
pilā.ī aisī ki phir hosh meñ ham aa na sake
na pūchh qissa-e-be-chārgī-e-ishq na pūchh
ye raaz vo hai kisī ko jo ham batā na sake
janāb-e-'nūr' hameñ to miTā diyā lekin
hamāre naqsh-e-mohabbat ko vo miTā na sake
wo parda ru-e-pur-anwar se uTha na sake
hum apne soe hue baKHt ko jaga na sake
taDap taDap ke to bismil ne jaan tak de di
wo aab-e-tegh ke do ghunT bhi pila na sake
hamari un ki mohabbat rahi isi surat
udhar baDha na sake hum idhar ghaTa na sake
hazar walwale maujud the tabiat mein
magar jab un se mili aankh bhi mila na sake
nazar milate hi saqi ne kar diya be-KHud
pilai aisi ki phir hosh mein hum aa na sake
na puchh qissa-e-be-chaargi-e-ishq na puchh
ye raaz wo hai kisi ko jo hum bata na sake
janab-e-'nur' hamein to miTa diya lekin
hamare naqsh-e-mohabbat ko wo miTa na sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.