nargis aur bazgasht
hazāroñ saal se us kī bujhī āñkheñ
pur-nam haiñ
us murta.ish paikar ke liye
jis kā aks
jhiil ke shītal jal kī lahroñ meñ
murta.ish hai
chaman meñ koī dīda-var paidā ho yā na ho
bhalā us se us kā kyā lenā denā
aur fazā meñ sirf DeḌh jumle guuñj rahe haiñ
ġhubār-e-ishq maiñ tanhā uThā ke laayā huuñ
aur bāzgasht tanhā uThā ke laayā huuñ
laayā huuñ laayā huuñ
hazaron sal se us ki bujhi aankhen
pur-nam hain
us murtaish paikar ke liye
jis ka aks
jhil ke shital jal ki lahron mein
murtaish hai
chaman mein koi dida-war paida ho ya na ho
bhala us se us ka kya lena dena
aur faza mein sirf DeDh jumle gunj rahe hain
ghubar-e-ishq main tanha uTha ke laya hun
aur bazgasht tanha uTha ke laya hun
laya hun laya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.