Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nargis fatima dekh rahi hai

Muneer Jafri

nargis fatima dekh rahi hai

Muneer Jafri

MORE BYMuneer Jafri

    sūraj darvāza khultā hai

    raat kālak se kajlā.ī

    miTTī chehra utrā hai

    nargis fātima taaza qabr khiḌkī khol ke

    jhāñk rahī hai

    maut pahlī sub.h manzar

    afsurda hai

    qabristān ko jaane vaale raste par

    vīrānī ke sannāTe haiñ

    ham-sā.ī qabroñ meñ jaise

    kafūrī sakte nauha phail chukā hai

    duur kahīñ duniyā ke siine meñ

    sāñsoñ lohā

    kundan karne vaale

    umr-e-azīz ke halq meñ

    siskī ik chhallā TuuT gayā hai

    māhir surgeon

    bāñhoñ meñ nākāmī ḳhamyāza bhar kar

    soch rahā hai

    kār-e-masīhā.ī da.avā

    jis lamhe ījād huā thā

    vo saa.at

    insānī vaqt ke hisse meñ aa paa.ī nahīñ

    be-samtī zard lakīroñ par chalnā dānā.ī nahīñ

    nabbāzī ke nashtar se bhī

    maut patthar nokīlā hai

    nargis fātima dekh rahī hai

    operation theatre ke andar

    surgeon mazbūt āñkhoñ ne kamzorī se Tek lagā kar

    harakat karnā chhoḌ diyā hai

    suraj ka darwaza khulta hai

    raat ki kalak se kajlai

    miTTi ka chehra utra hai

    nargis fatima taza qabr ki khiDki khol ke

    jhank rahi hai

    maut ki pahli subh ka manzar

    afsurda hai

    qabristan ko jaane wale raste par

    virani ke sannaTe hain

    ham-sai qabron mein jaise

    kafuri sakte ka nauha phail chuka hai

    dur kahin duniya ke sine mein

    sanson ka loha

    kundan karne wale

    umr-e-aziz ke halq mein

    siski ka ek chhalla TuT gaya hai

    mahir surgeon

    banhon mein nakaami ka KHamyaza bhar kar

    soch raha hai

    kar-e-masihai ka dawa

    jis lamhe ijad hua tha

    wo saat

    insani waqt ke hisse mein aa pai nahin

    be-samti ki zard lakiron par chalna danai nahin

    nabbazi ke nashtar se bhi

    maut ka patthar nokila hai

    nargis fatima dekh rahi hai

    operation theatre ke andar

    surgeon ki mazbut aankhon ne kamzori se Tek laga kar

    harakat karna chhoD diya hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now