nasab-zade
purānī baat hai
lekin ye anhonī sī lagtī hai
vo jab paidā hue
un ke qabīle ne
ka.ī rāteñ
mubārak sā.atoñ ke jashn meñ kāTīñ
ḳhudā kī bartarī ke giit gaa.e
aur ġhulāmoñ bāñdiyoñ ko qaid se āzād kar Daalā
ka.ī din un ke ḳheme
chīḳhtī ḳhushiyoñ kā gahvāra rahe
un ke buzurgoñ ne
ġharīboñ aur mohtājoñ ko
jins be-bahā bāñTī
bahut se jānvar zab.h kiye
saare qabīle ne
ka.ī din tak
kuoñ se Dol khīñche
rāh-gīroñ kī duā.eñ liiñ
vo sab nau-zāidoñ ko god meñ le kar
rajaz gaate
salaf ke kārnāmoñ kā bayāñ karte
vo jab paidā hue
farḳhanda tāle.a the
magar ik din
nasab-zādoñ ne
apne astabal khole
sabā-raftār ghoḌoñ ke badan par chābukeñ mārīñ
havā ke dosh par neze uchhāle
nek tīnat tā.ifoñ kī bastiyāñ tārāj kar aa.e
vo pahlī raat thī
un ke qabīle kī koī aurat
nasab-bardār apne shauharoñ kī god meñ aa kar nahīñ soī
purani baat hai
lekin ye anhoni si lagti hai
wo jab paida hue
un ke qabile ne
kai raaten
mubarak saaton ke jashn mein kaTin
KHuda ki bartari ke git gae
aur ghulamon bandiyon ko qaid se aazad kar Dala
kai din un ke KHeme
chiKHti KHushiyon ka gahwara rahe
un ke buzurgon ne
gharibon aur mohtajon ko
jins be-baha banTi
bahut se jaanwar zabh kiye
sare qabile ne
kai din tak
kuon se Dol khinche
rah-giron ki duaen lin
wo sab nau-zaidon ko god mein le kar
rajaz gate
salaf ke karnamon ka bayan karte
wo jab paida hue
farKHanda talea the
magar ek din
nasab-zadon ne
apne astabal khole
saba-raftar ghoDon ke badan par chabuken marin
hawa ke dosh par neze uchhaale
nek tinat taifon ki bastiyan taraj kar aae
wo pahli raat thi
un ke qabile ki koi aurat
nasab-bardar apne shauharon ki god mein aa kar nahin soi
- Book : purani baat hai (Pg. 26)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.