nasheb-o-faraaz
ismateñ luTtī rahīñ ghar-bār bhī jalte rahe
toḌ kar naata ḳhudā se haath ham malte rahe
pesh aa.e jaane kitne jāñ-gusil lamhe magar
ḳhud-ba-ḳhud hī vo ḳhudā ke fazl se Talte rahe
rāh-e-haq se pherne kī sāzisheñ hotī rahīñ
istaqāmat ke magar paikar meñ ham Dhalte rahe
parvarish jin kī huī thī asbiyat kī god meñ
vo bhī sūraj kī tarah chaḌhte rahe Dhalte rahe
ḳhushk roTī kā bhī ik TukḌā na thā jin ko nasīb
jaane kitne rog un ke jism meñ palte rahe
ismaten luTti rahin ghar-bar bhi jalte rahe
toD kar nata KHuda se hath hum malte rahe
pesh aae jaane kitne jaan-gusil lamhe magar
KHud-ba-KHud hi wo KHuda ke fazl se Talte rahe
rah-e-haq se pherne ki sazishen hoti rahin
istaqamat ke magar paikar mein hum Dhalte rahe
parwarish jin ki hui thi asbiyat ki god mein
wo bhi suraj ki tarah chaDhte rahe Dhalte rahe
KHushk roTi ka bhi ek TukDa na tha jin ko nasib
jaane kitne rog un ke jism mein palte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.