nasheb
pahāḌoñ meñ ghirī vaadī kī balkhātī huī saḌkeñ
guzarte moḌ par jhuktī huī shāḳhoñ se pūchheñgī
purāne modaloñ kī gāḌiyoñ ne kyā kahā tum se
musāfir ḳhvāhishoñ kī manziloñ par bhī pahuñchte haiñ
ki raste kī kisī khaa.ī meñ
apne naam kī qabroñ meñ jā kar leT jaate haiñ
pahaDon mein ghiri wadi ki balkhati hui saDken
guzarte moD par jhukti hui shaKHon se puchhengi
purane modalon ki gaDiyon ne kya kaha tum se
musafir KHwahishon ki manzilon par bhi pahunchte hain
ki raste ki kisi khai mein
apne nam ki qabron mein ja kar leT jate hain
- Book : Kisi Hairan Saat Mein (Pg. 40)
- Author : Faisal Hashmi
- Publication : Kaghadhi Paerahen (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.