nashr-gah
Interesting Fact
(Auraq, Lahore, September-October 1973)
faqat apne hone kā elaan maiñ ne kiyā
par na sochā
kahāñ se chalā thā kahāñ aa ke Thahrā
maiñ kis manzil-e-be-nishāñ kī taraf ab ravāñ huuñ
mujhe ḳhushk bad-rañg chamḌe pe likkhe savāloñ se raġhbat
nahīñ thī
maiñ mantiq kī varzish se ḳhud ko thakānā nahīñ chāhtā thā
faqat apne hone kā elaan maiñ ne kiyā
aur dekhā
falak kī siyah gahrī sūkhī huī bā.ulī se
karoḌoñ sitāre
shuāoñ kī be-samt be-lafz gūñgī zabāñ meñ
larazte laboñ se
na hone ke munkir the
hone kā elaan karte chale jā rahe the
faqat apne hone kā elaan maiñ ne kiyā
aur betāb phūloñ se sāvan ke jhūloñ se
chiḌiyoñ ke lorī se
har zinda hastī ke sāñsoñ kī Dorī se
āvāz aa.ī
mujhe apne hone kā haqq-ul-yaqīñ hai
maiñ elaan kartī huuñ apnā
ajab silsila thā
karoḌoñ baras kī masāfat pe phailā huā saarā aalam
sadāoñ kī lahroñ kī ik chīḳhtī nashr-gah ban chukā thā
faqat apne hone kā elaan kartā chalā jā rahā thā
ye elaan kis ke liye thā
tujhe kyā ḳhabar hai
tū is nashr-gah kā faqat ek adnā mulāzim
tū kuchh bhī nahīñ jāntā hai
faqat apne hone ka elan main ne kiya
par na socha
kahan se chala tha kahan aa ke Thahra
main kis manzil-e-be-nishan ki taraf ab rawan hun
mujhe KHushk bad-rang chamDe pe likkhe sawalon se raghbat
nahin thi
main mantiq ki warzish se KHud ko thakana nahin chahta tha
faqat apne hone ka elan main ne kiya
aur dekha
falak ki siyah gahri sukhi hui bauli se
karoDon sitare
shuaon ki be-samt be-lafz gungi zaban mein
larazte labon se
na hone ke munkir the
hone ka elan karte chale ja rahe the
faqat apne hone ka elan main ne kiya
aur betab phulon se sawan ke jhulon se
chiDiyon ke lori se
har zinda hasti ke sanson ki Dori se
aawaz aai
mujhe apne hone ka haqq-ul-yaqin hai
main elan karti hun apna
ajab silsila tha
karoDon baras ki masafat pe phaila hua sara aalam
sadaon ki lahron ki ek chiKHti nashr-gah ban chuka tha
faqat apne hone ka elan karta chala ja raha tha
ye elan kis ke liye tha
tujhe kya KHabar hai
tu is nashr-gah ka faqat ek adna mulazim
tu kuchh bhi nahin jaanta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.