nashr mukarrar
vo shaam
jab saḌkeñ gul-e-surḳh se bharī huiiñ thiiñ
aivān-e-insāf par añdherā utar rahā thā
maiñ ne
gardan aur kānoñ ko coat ke lambe collar meñ chhupā liyā
taaki
bāqī-māñda lahū kī gardish chehre tak na aa sake
abābīleñ
apne maskanoñ se dīvāna-vār nikal aa.iiñ
aur
gumbadoñ meñ bolne vaale kabūtaroñ ne chup-chāp
apnī choñcheñ
ḳhāmosh tālāb meñ Dubo diiñ
vo shaam
jab khiḌkiyoñ meñ sab chehre ek jaise nazar aane lageñ
wo sham
jab saDken gul-e-surKH se bhari huin thin
aiwan-e-insaf par andhera utar raha tha
main ne
gardan aur kanon ko coat ke lambe collar mein chhupa liya
taki
baqi-manda lahu ki gardish chehre tak na aa sake
ababilen
apne maskanon se diwana-war nikal aain
aur
gumbadon mein bolne wale kabutaron ne chup-chap
apni chonchen
KHamosh talab mein Dubo din
wo sham
jab khiDkiyon mein sab chehre ek jaise nazar aane lagen
- Book : Duniyazad (Pg. 163)
- Author : Asif Farrakhi
- Publication : AG Printing Services Karachi (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.