nasihat
mujh se kyā ho ga.ī ḳhatā bhaa.ī
kyoñ satātā hai ye batā bhaa.ī
biij kyoñ nafratoñ ke botā hai
dostoñ ko na varġhalā bhaa.ī
chhoḌ de buġhz aur hasad bilkul
apne dil ko na ghun lagā bhaa.ī
bad-gumānī na dil meñ paidā kar
bad-kalāmī se baaz aa bhaa.ī
gungunātā hai giit filmoñ ke
na.at paḌh aur hamd gā bhaa.ī
ḳhuub mehnat se paḌh sabaq apnā
vaqt par madrase ko jā bhaa.ī
sab kī ḳhushiyoñ meñ ho sharīk sadā
dukh meñ har ik ke kaam aa bhaa.ī
mujh se kya ho gai KHata bhai
kyon satata hai ye bata bhai
bij kyon nafraton ke bota hai
doston ko na warghala bhai
chhoD de bughz aur hasad bilkul
apne dil ko na ghun laga bhai
bad-gumani na dil mein paida kar
bad-kalami se baz aa bhai
gungunata hai git filmon ke
nat paDh aur hamd ga bhai
KHub mehnat se paDh sabaq apna
waqt par madrase ko ja bhai
sab ki KHushiyon mein ho sharik sada
dukh mein har ek ke kaam aa bhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.