nasim-e-sahar
kis naaz kis adā se nasīm-e-sahar chalī
bū kī tarah ravāñ huī misl-e-nazar chalī
bāġhoñ kā ruḳh kiyā to girātī samar chalī
shabnam kī pattiyoñ ko luTātī guhar chalī
phūloñ ke jaam bāda-e-mastī se bhar chalī
ahl-e-chaman ko ḳhvāb se bedār kar chalī
rū-e-chaman ko dekh ke zīnat machal paḌī
sabze ko chheḌ-chhāḌ ke lahrā ke chal paḌī
taḳhte guloñ ke chashm-e-zadan meñ khilā chalī
ḳhushbū ke aur shamīm ke dariyā bahā chalī
sajde meñ shukr ke liye shāḳheñ jhukā chalī
chiḌiyoñ ko shāḳh shāḳh pe jhūlā jhulā chalī
pattoñ ko laḌkhaḌātī huī jā-ba-jā chalī
bazm-e-tarab kā rañg chaman meñ jamā chalī
sumbul ko zulf-e-nāz ko suljhā ke chal paḌī
dāman ko ḳhaar ḳhaar se uljhā ke chal paḌī
kis naz kis ada se nasim-e-sahar chali
bu ki tarah rawan hui misl-e-nazar chali
baghon ka ruKH kiya to giraati samar chali
shabnam ki pattiyon ko luTati guhar chali
phulon ke jam baada-e-masti se bhar chali
ahl-e-chaman ko KHwab se bedar kar chali
ru-e-chaman ko dekh ke zinat machal paDi
sabze ko chheD-chhaD ke lahra ke chal paDi
taKHte gulon ke chashm-e-zadan mein khila chali
KHushbu ke aur shamim ke dariya baha chali
sajde mein shukr ke liye shaKHen jhuka chali
chiDiyon ko shaKH shaKH pe jhula jhula chali
patton ko laDkhaDati hui ja-ba-ja chali
bazm-e-tarab ka rang chaman mein jama chali
sumbul ko zulf-e-naz ko suljha ke chal paDi
daman ko KHar KHar se uljha ke chal paDi
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 131)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.