ik adākār huuñ maiñ
maiñ adākār huuñ naañ
jiinī paḌtī haiñ ka.ī zindagiyāñ ek hayātī meñ mujhe
merā kirdār badal jaatā hai har roz na.ī seat par
mere hālāt badal jaate haiñ
merā chehra bhī badal jaatā hai afsāna-o-manzar ke mutābiq
merī ādāt badal jaatī haiñ
aur phir daaġh nahīñ chhūTte pahnī huī poshākoñ ke
ḳhasta kirdāroñ kā kuchh chūrā sā rah jaatā hai tah meñ
koī nokīlā sā kirdār guzartā hai ragoñ se to ḳharāshoñ
ke nishāñ der talak rahte haiñ dil par
zindagī se ye uThā.e hue kirdār ḳhayālī bhī nahīñ haiñ ki utar
jaa.eñ vo pañkhe kī havā se
siyāhī rah jaatī hai siine meñ adīboñ ke likhe jumloñ kī
sīmīñ parde pe likhī
saañs letī huī tahrīr nazar aatā huuñ
maiñ adākār huuñ lekin
sirf adākār nahīñ
vaqt kī tasvīr bhī huuñ
ek adakar hun main
main adakar hun nan
jini paDti hain kai zindagiyan ek hayati mein mujhe
mera kirdar badal jata hai har roz nai seat par
mere haalat badal jate hain
mera chehra bhi badal jata hai afsana-o-manzar ke mutabiq
meri aadat badal jati hain
aur phir dagh nahin chhuTte pahni hui poshakon ke
KHasta kirdaron ka kuchh chura sa rah jata hai tah mein
koi nokila sa kirdar guzarta hai ragon se to KHarashon
ke nishan der talak rahte hain dil par
zindagi se ye uThae hue kirdar KHayali bhi nahin hain ki utar
jaen wo pankhe ki hawa se
siyahi rah jati hai sine mein adibon ke likhe jumlon ki
simin parde pe likhi
sans leti hui tahrir nazar aata hun
main adakar hun lekin
sirf adakar nahin
waqt ki taswir bhi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.