nasl-e-be-chehr-gan
apnī be-chehragī
oT meñ naam kī taḳhtiyoñ kī rahī
dil kī tārīkiyāñ
jagmagāhaT meñ malbūs kī chhup ga.iiñ
lab pe tanvīr jaagī
to ham ne ye samjhā
chalo ajnabī ab shanāsā hue
shahr ke ūñche mīnār par
chand miTTī ke rangīñ kabūtar saje
jashn-e-āzādī-e-qaum-o-millat
manāyā gayā
ik ḳhalā darmiyāñ thā
so qaa.em rahā
garmī barsāt jaaḌe kī badlī rutoñ meñ
har ik fard
pahchān apnī gañvā kar
Dhalā mom kī mūratoñ meñ
har ik shakl ab jaise apnī lage
aur koī shakl apnī nahīñ
ham hue aaj ḳhud apne hī shahr meñ
nasl-e-nang-e-nishāñ
nasl-e-be-chehr-gāñ
apni be-chehragi
oT mein nam ki taKHtiyon ki rahi
dil ki tarikiyan
jagmagahaT mein malbus ki chhup gain
lab pe tanwir jagi
to hum ne ye samjha
chalo ajnabi ab shanasa hue
shahr ke unche minar par
chand miTTi ke rangin kabutar saje
jashn-e-azadi-e-qaum-o-millat
manaya gaya
ek KHala darmiyan tha
so qaem raha
garmi barsat jaDe ki badli ruton mein
har ek fard
pahchan apni ganwa kar
Dhala mom ki muraton mein
har ek shakl ab jaise apni lage
aur koi shakl apni nahin
hum hue aaj KHud apne hi shahr mein
nasl-e-nang-e-nishan
nasl-e-be-chehr-gan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.