nasri nazm ki manzum katha
aur phir kuchh yuuñ huā
lafz kī takrār se
murta.ish iz.hār se
uqda-e-dushvār se
shā.irī uktā ga.ī
shā.irī kī be-karāñ mauj-e-taḳhayyul yuuñ uThī
tañgnā-e-nazm-o-naġhma gum huī
imtiyāz-e-bahr-o-bar miTtā gayā
ehtimām-e-zauq-tar jaatā rahā
chashma-e-vahm-o-gumāñ
phūTtā hai vādī-e-ijz-e-bayāañ ke vast se
phailtī hai ḳhīrgī
lamha-e-mākūs hai
āb-jū-e-ḳhvāb hai paiham ravāñ
jhiil sūrat harf sākit haiñ magar
jhilmilāte haiñ ma.ānī lafz ke tālāb meñ
baat gahrī hai bahut
saaz bhī ḳhāmosh hai
gunjalak sanjog se
maujib-e-nā-guftanī
qābil-e-iz.hār hai
haañ magar vo sheriyat
duur ik lāya.aniyat ke be-amāñ pātāl meñ
barsar-e-paikār hai
aur phir kuchh yun hua
lafz ki takrar se
murtaish izhaar se
uqda-e-dushwar se
shairi ukta gai
shairi ki be-karan mauj-e-taKHayyul yun uThi
tangna-e-nazm-o-naghma gum hui
imtiyaz-e-bahr-o-bar miTta gaya
ehtimam-e-zauq-tar jata raha
chashma-e-wahm-o-guman
phuTta hai wadi-e-ijz-e-bayaan ke wast se
phailti hai KHirgi
lamha-e-makus hai
aab-ju-e-KHwab hai paiham rawan
jhil surat harf sakit hain magar
jhilmilate hain maani lafz ke talab mein
baat gahri hai bahut
saz bhi KHamosh hai
gunjalak sanjog se
maujib-e-na-guftani
qabil-e-izhaar hai
han magar wo sheriyat
dur ek layaniyat ke be-aman patal mein
barsar-e-paikar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.