nasri nazm
shā.irī jhankār nahīñ jo taal par nāchtī rahe
gayā vaqt
jab ḳhvāja-sarā TuuTī kamān hote the
aur maut par tāliyāñ piiTā karte the
pāzeb pahan kar maidān meñ nahīñ bhaag sakte
ye kahīñ bhī saath chhoḌ saktī hai
ġhaar meñ chunī-chunā.ī jagah hai
daar hai bā-mashaqqat qaidī hai
lekin nazm meñ na ġhaar hai
na daar hai na mashaqqat hai
phir bhī ek qaid hai
jab ham zamīnoñ ko paḌhne nikalte haiñ
to charind parind kī zarūrat nahīñ rahtī
insān kī pahlī āñval-nāl aziyyat hai
khel to khalanDarā hī rahtā hai
shairi jhankar nahin jo tal par nachti rahe
gaya waqt
jab KHwaja-sara TuTi kaman hote the
aur maut par taliyan piTa karte the
pazeb pahan kar maidan mein nahin bhag sakte
ye kahin bhi sath chhoD sakti hai
ghaar mein chuni-chunai jagah hai
dar hai ba-mashaqqat qaidi hai
lekin nazm mein na ghaar hai
na dar hai na mashaqqat hai
phir bhi ek qaid hai
jab hum zaminon ko paDhne nikalte hain
to charind parind ki zarurat nahin rahti
insan ki pahli aanwal-nal aziyyat hai
khel to khalanDara hi rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.