naT-khaT chand
ek zarā sā chamkā thā
abhī yahīñ thā kidhar gayā
zarā jhalak dikhlā.ī thī
ek shuā lahrā.ī thī
masjid ke mīnāroñ se
āñgan se galiyāroñ se
kuchh logoñ ne dekhā thā
kyā vo aañkh kā dhokā thā
pal bhar sāmne aayā thā
bijlī sā lahrāyā thā
duur shafaq kī laalī meñ
kaḌve niim kī Daalī meñ
hare bhare pattoñ ke biich
phūloñ aur phaloñ ke biich
abbā jaan ne dekhā thā
ammī jaan ne sochā thā
dekhe un kā beTā bhī
chāñd ke jaisā bachcha bhī
lekin naT-khaT iid kā chāñd
kaisā jhaT-paT iid kā chāñd
ujle gadle bādal meñ
shaam ke maile āñchal meñ
mujh se chhup kar baiThā hai
shāyad mujh se Dartā hai
ek zara sa chamka tha
abhi yahin tha kidhar gaya
zara jhalak dikhlai thi
ek shua lahrai thi
masjid ke minaron se
aangan se galiyaron se
kuchh logon ne dekha tha
kya wo aankh ka dhoka tha
pal bhar samne aaya tha
bijli sa lahraya tha
dur shafaq ki lali mein
kaDwe nim ki Dali mein
hare bhare patton ke bich
phulon aur phalon ke bich
abba jaan ne dekha tha
ammi jaan ne socha tha
dekhe un ka beTa bhi
chand ke jaisa bachcha bhi
lekin naT-khaT id ka chand
kaisa jhaT-paT id ka chand
ujle gadle baadal mein
sham ke maile aanchal mein
mujh se chhup kar baiTha hai
shayad mujh se Darta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.