Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naT-khaT

MORE BYAbul Mujahid Zahid

    copy bechī toffē khaa.ī

    āḳhir teacher tak baat aa.ī

    ḳhuub huī phir kaan khiñchāī

    aisī harakat kyuuñ thī

    kyoñ rote ho naT-khaT bhaa.ī

    chhat par ek girā kankavvā

    jhaT-paT dauḌe khānā chhoḌā

    khā ga.ī billī duudh malā.ī

    aisī harakat kyuuñ thī

    kyuuñ rote ho naT-khaT bhaa.ī

    ek gad.he dum meñ bāñdhā

    tum ne hans hans kar ik piipā

    us ne muñh par laat jamā.ī

    aisī harakat kyuuñ thī

    kyuuñ rote ho naT-khaT bhaa.ī

    barroñ ke chhatte ko toḌā

    barroñ ne bhī ḳhuub bhañbhoḌā

    kuppā jaisī shakl banā.ī

    aisī harakat kyuuñ thī

    kyuuñ rote ho naT-khaT bhaa.ī

    dhyān na thā paḌhne likhne

    dekho āḳhir fail hue

    kaisī hotī hai rusvā.ī

    aisī harakat kyuuñ

    kyuuñ rote ho naT-khaT bhaa.ī

    copy bechi toffee khai

    aaKHir teacher tak baat aai

    KHub hui phir kan khinchai

    aisi harakat hi kyun ki thi

    kyon rote ho naT-khaT bhai

    chhat par ek gira kankawwa

    jhaT-paT dauDe khana chhoDa

    kha gai billi dudh malai

    aisi harakat hi kyun ki thi

    kyun rote ho naT-khaT bhai

    ek gadhe ki dum mein bandha

    tum ne hans hans kar ek pipa

    us ne munh par lat jamai

    aisi harakat hi kyun ki thi

    kyun rote ho naT-khaT bhai

    barron ke chhatte ko toDa

    barron ne bhi KHub bhanbhoDa

    kuppa jaisi shakl banai

    aisi harakat hi kyun ki thi

    kyun rote ho naT-khaT bhai

    dhyan na tha paDhne likhne ka

    dekho aaKHir fail hue na

    kaisi hoti hai ruswai

    aisi harakat hi kyun ki

    kyun rote ho naT-khaT bhai

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now