naT-khaT putli
putlī maiñ sharminda huuñ
maiñ ne tere baḳhiye Tāñke ujlat meñ
tere dhāge maiñ ne kas kar bāñdhe the
tere chehre par muskān sajā.ī aur tujhe
apnī poroñ par chalvāyā jab chāhā
maiñ ne jaldī kī aur itnī jaldī kī
jitnī shāyad tere bas kā rog na thā
lekin ab sharminda huuñ
jin hāthoñ se laakh tamāshe kar baiThā
larze larze jaate haiñ ur ra.asha se
aur ab terī umr javānī vaalī hai
terī āñkheñ phail chukī haiñ
jism bharā hai miTTī se aur
log bahut mānūs haiñ tujh se
terī saaf ravānī se aur
harakat harakat phurtī se
tū bhī ab ḳhush hotī hai jab tujh par āñkheñ ruktī haiñ
log tirī jānib jab hairāñ hairāñ ho kar takte haiñ
lekin maiñ sharminda huuñ
mujh se ab ye khel-tamāsha aur na hogā
merā terā ye dikhlāvā aur na hogā
aur maiñ tujh meñ ruuh milāne vaalā huuñ
tujh se apnā ye be-qābū jism badalne vaalā huuñ
putli main sharminda hun
main ne tere baKHiye Tanke ujlat mein
tere dhage main ne kas kar bandhe the
tere chehre par muskan sajai aur tujhe
apni poron par chalwaya jab chaha
main ne jaldi ki aur itni jaldi ki
jitni shayad tere bas ka rog na tha
lekin ab sharminda hun
jin hathon se lakh tamashe kar baiTha
larze larze jate hain ur rasha se
aur ab teri umr jawani wali hai
teri aankhen phail chuki hain
jism bhara hai miTTi se aur
log bahut manus hain tujh se
teri saf rawani se aur
harakat harakat phurti se
tu bhi ab KHush hoti hai jab tujh par aankhen rukti hain
log teri jaanib jab hairan hairan ho kar takte hain
lekin main sharminda hun
mujh se ab ye khel-tamasha aur na hoga
mera tera ye dikhlawa aur na hoga
aur main tujh mein ruh milane wala hun
tujh se apna ye be-qabu jism badalne wala hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.