natija
āḳhir-kār
ek din mujhe
ḳhushbū aur rangoñ se bhare
tumhāre pahlū se uTh kar
vahāñ jaanā paḌ jā.egā
jahāñ buland aur dushvār pahāḌoñ kī god meñ
vo sab jo
miTTī kī mahak vaale bistar chhoḌ kar
kāñToñ kī tarah ugte haiñ
aur rauñdne vāloñ ko zaḳhmī kar dete haiñ
har lamhe ek intizār kī kaifiyat meñ rahte haiñ
tab mumkin hai mujhe pīchhe se golī lage
taaki kāñTā na ban sakūñ
yā siine meñ
kisī ġhalat-fahmī ke natīje meñ
aaKHir-kar
ek din mujhe
KHushbu aur rangon se bhare
tumhaare pahlu se uTh kar
wahan jaana paD jaega
jahan buland aur dushwar pahaDon ki god mein
wo sab jo
miTTi ki mahak wale bistar chhoD kar
kanTon ki tarah ugte hain
aur raundne walon ko zaKHmi kar dete hain
har lamhe ek intizar ki kaifiyat mein rahte hain
tab mumkin hai mujhe pichhe se goli lage
taki kanTa na ban sakun
ya sine mein
kisi ghalat-fahmi ke natije mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.