naTraj
ye ḳhūbsūrat mūrat
jo sadiyoñ se
insānī tahzīb kī amiin hai
shāyad
kisī dīvāne kī sadā.eñ
pattharoñ par
munjamid ho jaane se banī thī
us ke jazbāt kī akkās hai
jin ke taqaddus ne
fan kā ruup le kar
ek be-jān jism meñ
zindagī Daal dī
jo aaj bhī zinda hai
kal bhī rahegī
ki vo
mohabbat hai
jis kī sifat
kabhī fanā nahīñ hotī
ye KHubsurat murat
jo sadiyon se
insani tahzib ki amin hai
shayad
kisi diwane ki sadaen
pattharon par
munjamid ho jaane se bani thi
us ke jazbaat ki akkas hai
jin ke taqaddus ne
fan ka rup le kar
ek be-jaan jism mein
zindagi Dal di
jo aaj bhi zinda hai
kal bhi rahegi
ki wo
mohabbat hai
jis ki sifat
kabhi fana nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.