nau sitambar yaum-e-wafat-e-jigar murad-abaadi
kitnī maġhmūm tabī.at thī aaj
dil kī duniyā meñ qayāmat thī aaj
yaad rah rah ke jigar aate the
vo mohabbat vo haqīqat vo majāz
vo taġhazzul vo tarannum vo gudāz
log dil thaam ke rah jaate the
aaj ke din ne ye kyā zulm kiyā
phir nayā dard nayā zaḳhm diyā
sabr kar ai dil-e-be-tāb-o-hazīñ
ek azmat kā sutūn aur girā
ek mashriq kā charāġh aur bujhā
haif ki maao bhī ab ham meñ nahīñ
dard-e-dil aa.e na aa.e lab tak
ye zamīñ aur falak hai jab tak
yaad ā.eñge hamesha donoñ
har gulistāñ meñ har ik sahrā meñ
chāñd sūraj kī tarah duniyā meñ
jagmagā.eñge hamesha donoñ
aql hairān hai dīvānoñ par
sham.a ehsās hai parvānoñ par
kaun kahtā hai ye nādānī hai
marhala maut kā aatā hai magar
aadmī mar ke bhī rahtā hai amar
ishq har rang meñ lā-fānī hai
kitni maghmum tabiat thi aaj
dil ki duniya mein qayamat thi aaj
yaad rah rah ke jigar aate the
wo mohabbat wo haqiqat wo majaz
wo taghazzul wo tarannum wo gudaz
log dil tham ke rah jate the
aaj ke din ne ye kya zulm kiya
phir naya dard naya zaKHm diya
sabr kar ai dil-e-be-tab-o-hazin
ek azmat ka sutun aur gira
ek mashriq ka charagh aur bujha
haif ki mao bhi ab hum mein nahin
dard-e-dil aae na aae lab tak
ye zamin aur falak hai jab tak
yaad aaenge hamesha donon
har gulistan mein har ek sahra mein
chand suraj ki tarah duniya mein
jagmagaenge hamesha donon
aql hairan hai diwanon par
shama ehsas hai parwanon par
kaun kahta hai ye nadani hai
marhala maut ka aata hai magar
aadmi mar ke bhi rahta hai amar
ishq har rang mein la-fani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.