nauha
vahī bādaloñ ke barasne ke din the
magar vo na barse
mubārak ho shūrā kī san.at-garī ko
mashaqqat se bījoñ ko tayyār kar ke
ugaa.ī thī sahrā meñ chūhoñ kī khetī
jo āhista āhista baḌhte rahe
phir khaḌe ho ga.e apnī dum ke sahāre
katarne lage aise pyāsī zabānoñ ke nauhe jo mashkoñ ke
andar amānat paḌe the
ḳhabāsat ne ugle the manhūs bhūtoñ ke lashkar
ki chūhoñ kī imdād karte hue nuur kī bastiyoñ meñ vo dāḳhil hue
jo uḌāte the gard o ġhubār apne sar par
phaTe tabal kā shor girtā thā dil par
bhayānak sadāoñ meñ baazū uThā kar
chalāne lage raqs meñ tez paañv
ta.affun meñ lipTe hue saañs chhoḌe
baḌhe kichkachāte hue daañt apne hazāroñ taraf se
farishtoñ ne dekhā to ghabrā ga.e aur ḳhasta pyāloñ ko retī se bhar kar
sukaḌne lage apne ḳhemoñ kī jānib
vo retī ke zarre jinheñ aab sūraj kī kirnoñ ne dī thī
magar vo na barse
vahī bādaloñ ke barasne ke din the
wahi baadalon ke barasne ke din the
magar wo na barse
mubarak ho shura ki sanat-gari ko
mashaqqat se bijon ko tayyar kar ke
ugai thi sahra mein chuhon ki kheti
jo aahista aahista baDhte rahe
phir khaDe ho gae apni dum ke sahaare
katarne lage aise pyasi zabanon ke nauhe jo mashkon ke
andar amanat paDe the
KHabasat ne ugle the manhus bhuton ke lashkar
ki chuhon ki imdad karte hue nur ki bastiyon mein wo daKHil hue
jo uDate the gard o ghubar apne sar par
phaTe tabal ka shor girta tha dil par
bhayanak sadaon mein bazu uTha kar
chalane lage raqs mein tez panw
taffun mein lipTe hue sans chhoDe
baDhe kichkachate hue dant apne hazaron taraf se
farishton ne dekha to ghabra gae aur KHasta pyalon ko reti se bhar kar
sukaDne lage apne KHemon ki jaanib
wo reti ke zarre jinhen aab suraj ki kirnon ne di thi
magar wo na barse
wahi baadalon ke barasne ke din the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.