nauha
na jaane kab se bosīda makāñ meñ qaid huuñ
ik par kaTe taa.ir ke mānind
jis kī āvāzeñ
koī suntā nahīñ suntā bhī hai to lauT jaatā hai
sabhī Darte haiñ
maiñ un se rihā.ī bhiik meñ lūñgā
sabhī ye bhuul jaate haiñ
mujh aise par-kaTe taa.ir kī zindāñ se rihā.ī bhī
kisī gumnām goshe meñ
sisaktī maut se kuchh kam nahīñ hogī
sabhī ye bhuul jaate haiñ
maiñ zinda huuñ magar ik laash ke mānind zinda huuñ
jise apne safar kā bojh
ab auroñ ke kāñdhoñ par uThānā hai
na jaane kab se bosida makan mein qaid hun
ek par kaTe tair ke manind
jis ki aawazen
koi sunta nahin sunta bhi hai to lauT jata hai
sabhi Darte hain
main un se rihai bhik mein lunga
sabhi ye bhul jate hain
mujh aise par-kaTe tair ki zindan se rihai bhi
kisi gumnam goshe mein
sisakti maut se kuchh kam nahin hogi
sabhi ye bhul jate hain
main zinda hun magar ek lash ke manind zinda hun
jise apne safar ka bojh
ab auron ke kandhon par uThana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.