nauha
zindagī bahtī rahī āb-e-ravāñ kī mānind
kabhī halkī sī kabhī ḳhvāb-e-girāñ kī mānind
vaqt kī lahroñ pe ma.asūm sā chehra ubhrā
aur phir ho gayā gum vahm-o-gumāñ kī mānind
dilrubā chehre pe kyoñ chhāyā qazā kā saayā
kyoñ bahāroñ kā huā rañg ḳhizāñ ke mānind
ho ga.ī kyoñ vo chahaktī huī bulbul ḳhāmosh
kyoñ girā phuul jo gulshan meñ thā jaañ kī mānind
riñd jhuum uThte the mastān adā par jis kī
ab yahāñ kaun hai us pīr-e-muġhāñ kī mānind
ḳhaak uḌtī hai jahāñ qahqahe hote the buland
naġhma-e-bazm hai ab āh-o-fuġhāñ kī mānind
garmī-e-dil thī vahī us kī vahī zauq-e-talab
Dhalte sāyoñ meñ vo thā mard-e-javāñ kī mānind
umr bhar yād-e-chatar ham ko rulā.egī 'habīb'
ġham satā.egī sadā dard-e-nihāñ kī mānind
zindagi bahti rahi aab-e-rawan ki manind
kabhi halki si kabhi KHwab-e-giran ki manind
waqt ki lahron pe masum sa chehra ubhra
aur phir ho gaya gum wahm-o-guman ki manind
dilruba chehre pe kyon chhaya qaza ka saya
kyon bahaaron ka hua rang KHizan ke manind
ho gai kyon wo chahakti hui bulbul KHamosh
kyon gira phul jo gulshan mein tha jaan ki manind
rind jhum uThte the mastan ada par jis ki
ab yahan kaun hai us pir-e-mughan ki manind
KHak uDti hai jahan qahqahe hote the buland
naghma-e-bazm hai ab aah-o-fughan ki manind
garmi-e-dil thi wahi us ki wahi zauq-e-talab
Dhalte sayon mein wo tha mard-e-jawan ki manind
umr bhar yaad-e-chatar hum ko rulaegi 'habib'
gham sataegi sada dard-e-nihan ki manind
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 97)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.