nawa-e-paira-e-kar-gah-e-shisha-gari
tilism-e-saut jis kā naam thā phir vo guphā aa.ī
thakan kī niiñd jaisī gungunātī jhūmtī
ThanDī havā aa.ī
jahān-e-shor-o-shar lekin
kisī ko chain se kab sone detā hai
sadā.eñ kitnī unmal
ek lā-yānī tasalsul meñ
tarāne ishtihārī chahchahe qavvāliyāñ
aqvāl-e-zarrīñ dialogue ash.ār nā-mauzūñ
pukāreñ māñjhiyoñ ke giit
phir sattyam sharan singham sharan dhammam sharan meñ
jā rahā huuñ meñ
surīle shor kā rath baan kahtā hai
vo nairañg mazāhir kā khulā showcase
sotā rah gayā kaise
tabhī bedār suunā manch be-sāmān-o-gumān
ik duur kī āvāz se gūñjā
kisī goshe se ik nau-umr ḳhush-ilhān qaarī kī sadā aa.ī
sunāyā jā rahā thā yūsuf-e-siddīq kā qissa
gudāz-e-jāvedāñ meñ
an-likhī jātak kathāoñ ke
vuhūsh-o-tair
latā.eñ megh-dūt ashjār
ye insāñ bhī ajab hai
zamānoñ se use ham
jānte pahchānte haiñ
rāz-e-sar-basta magar us kā
vahī jaane jo hai tasvīr-gar us kā
sadāqat hī kā saarā khel hai bhayyā
isī se ek zarra rū-kash-o-mehr-o-mah-o-aḳhtar
sadāqat jiine marne TūTne juḌne ulajhne dar guzarne kī
kahāñ hai
huvaidā ek lauh-e-sañg jis par
ubhar aa.e vo aivān-e-madā.in ke khañDar ā.īna-e-ibrat
kahāñ kī khusravī āzādgī sarmastī-o-shoḳhī
vahī andhā kuaañ ḳhannās sautele ravayya kā
guzarte qāfiloñ kī āhaToñ se duur
jaras kī baañg se mahjūr
nahīñ ye zyādtī hai hosh meñ aao
koī yuuñ kufr biktā hai
idhar dekho
havā zindāñ kī kyā hai kyā banā detī hai insāñ ko
agar zindāñ ho qazzāqoñ uThā.ī ġhairoñ kā maskan
vo zindāñ aur hai lekin
nasheman-gīr arbāb-e-himam jis meñ
vahī to ḳhūb-tar mahbūb-tar us kī nigāhoñ meñ hai
aise jashn-e-dāvat ḳhvān-e-ne.amat hai
jahāñ us kī tulūa sub.h-e-sādiq sī numūd
ik aaj kā mohara
bisāt-e-bazm kī raunaq
salāḳhoñ meñ muqaffal yā salāḳhoñ paar
khulī duniyā meñ jo aisā mubarrā
muāsir illatoñ se
zāhir-o-bātin salāmat hai
vahī lā-raib dārā-e-karāmat hai navā-pairā
tilism-e-saut jis ka nam tha phir wo gupha aai
thakan ki nind jaisi gungunati jhumti
ThanDi hawa aai
jahan-e-shor-o-shar lekin
kisi ko chain se kab sone deta hai
sadaen kitni unmal
ek la-yani tasalsul mein
tarane ishtihaari chahchahe qawwaliyan
aqwal-e-zarrin dialogue ashaar na-mauzun
pukaren manjhiyon ke git
phir sattyam sharan singham sharan dhammam sharan mein
ja raha hun mein
surile shor ka rath ban kahta hai
wo nairang mazahir ka khula showcase
sota rah gaya kaise
tabhi bedar suna manch be-saman-o-guman
ek dur ki aawaz se gunja
kisi goshe se ek nau-umr KHush-ilhan qari ki sada aai
sunaya ja raha tha yusuf-e-siddiq ka qissa
gudaz-e-jawedan mein
an-likhi jatak kathaon ke
wuhush-o-tair
lataen megh-dut ashjar
ye insan bhi ajab hai
zamanon se use hum
jaante pahchante hain
raaz-e-sar-basta magar us ka
wahi jaane jo hai taswir-gar us ka
sadaqat hi ka sara khel hai bhayya
isi se ek zarra ru-kash-o-mehr-o-mah-o-aKHtar
sadaqat jine marne TuTne juDne ulajhne dar guzarne ki
kahan hai
huwaida ek lauh-e-sang jis par
ubhar aae wo aiwan-e-madain ke khanDar aaina-e-ibrat
kahan ki khusrawi aazadgi sarmasti-o-shoKHi
wahi andha kuan KHannas sautele rawayya ka
guzarte qafilon ki aahaTon se dur
jaras ki bang se mahjur
nahin ye zyaadti hai hosh mein aao
koi yun kufr bikta hai
idhar dekho
hawa zindan ki kya hai kya bana deti hai insan ko
agar zindan ho qazzaqon uThai ghairon ka maskan
wo zindan aur hai lekin
nasheman-gir arbab-e-himam jis mein
wahi to KHub-tar mahbub-tar us ki nigahon mein hai
aise jashn-e-dawat KHwan-e-neamat hai
jahan us ki tulua subh-e-sadiq si numud
ek aaj ka mohara
bisat-e-bazm ki raunaq
salaKHon mein muqaffal ya salaKHon par
khuli duniya mein jo aisa mubarra
muasir illaton se
zahir-o-baatin salamat hai
wahi la-raib dara-e-karamat hai nawa-paira
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.