naya aane wala zamana hamara
hai raushan haqīqat fasāna hamārā
na.ī zindagī ban ke bikhregā har sū
na.ī raushnī kā tarāna hamārā
nayā aane vaalā zamāna hamārā
purāne charāġhoñ ke maddham ujālo
hamāre hī hāthoñ sajegī ye mahfil
hameñ sirf bachcha samajh kar na Taalo
nayā aane vaalā zamāna hamārā
tumhārī buzurgī kā hai paas ham ko
magar is na.e daur kī raushnī meñ
hai apne farā.ez kā ehsās ham ko
nayā aane vaalā zamāna hamārā
ye daur-e-shabāb bahār-e-zamīñ hai
tumhārā zamāna to jaisā rahā ho
nayā aane vaalā zamāna hasīñ hai
nayā aane vaalā zamāna hamārā
hai raushan haqiqat fasana hamara
nai zindagi ban ke bikhrega har su
nai raushni ka tarana hamara
naya aane wala zamana hamara
purane charaghon ke maddham ujalo
hamare hi hathon sajegi ye mahfil
hamein sirf bachcha samajh kar na Talo
naya aane wala zamana hamara
tumhaari buzurgi ka hai pas hum ko
magar is nae daur ki raushni mein
hai apne faraez ka ehsas hum ko
naya aane wala zamana hamara
ye daur-e-shabab bahaar-e-zamin hai
tumhaara zamana to jaisa raha ho
naya aane wala zamana hasin hai
naya aane wala zamana hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.