naya aazar
mirī rafīq-e-tarab-gāh terī aamad par
na.e suroñ meñ na.e giit gaa.e the maiñ ne
nafas nafas meñ jalā kar umiid ke dīpak
qadam qadam pe sitāre bichhā.e the maiñ ne
havā ke loch galī se nikhār māñgā thā
tire jamāl kā chehra sañvārne ke liye
kañval kañval se ḳharīdī thī hasrat-e-dīdār
nazar nazar ko jigar meñ utārne ke liye
bahut se giit chhalakte rahe ufuq ke qarīb
bahut se phuul baraste rahe fazāoñ meñ
ulajh ulajh ga.ī majrūh ziist kī girheñ
bikhar bikhar ga.iiñ añgḌā.iyāñ ḳhalāoñ meñ
maiñ pūchhtā huuñ ki ai rañg-o-nūr kī devī
ilāj-e-tīra-shabī kyā isī ko kahte haiñ
bujhe bujhe se ye muflis diye na jaane kyā
sulag sulag ke tirī be-hisī ko kahte haiñ
ye giit sar-ba-garebāñ haiñ tere jaane se
ye nau-urūs sitāre baḌhā rahe haiñ suhāg
kalī kalī ko tirī be-ruḳhī kā shikva hai
nafas nafas se nikaltī hai ek aisī aag
jise bujhā.ūñ to dil zamharīr ho jaa.e
tirā aziim tasavvur haqīr ho jaa.e
meri rafiq-e-tarab-gah teri aamad par
nae suron mein nae git gae the main ne
nafas nafas mein jala kar umid ke dipak
qadam qadam pe sitare bichhae the main ne
hawa ke loch gali se nikhaar manga tha
tere jamal ka chehra sanwarne ke liye
kanwal kanwal se KHaridi thi hasrat-e-didar
nazar nazar ko jigar mein utarne ke liye
bahut se git chhalakte rahe ufuq ke qarib
bahut se phul baraste rahe fazaon mein
ulajh ulajh gai majruh zist ki girhen
bikhar bikhar gain angDaiyan KHalaon mein
main puchhta hun ki ai rang-o-nur ki dewi
ilaj-e-tira-shabi kya isi ko kahte hain
bujhe bujhe se ye muflis diye na jaane kya
sulag sulag ke teri be-hisi ko kahte hain
ye git sar-ba-gareban hain tere jaane se
ye nau-urus sitare baDha rahe hain suhag
kali kali ko teri be-ruKHi ka shikwa hai
nafas nafas se nikalti hai ek aisi aag
jise bujhaun to dil zamharir ho jae
tera azim tasawwur haqir ho jae
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 162)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.