Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naya adab

Akhtar Payami

naya adab

Akhtar Payami

MORE BYAkhtar Payami

    haañ to maiñ aap se kahtā thā janāb

    zindagī jabr pāband nahīñ rah saktī

    aur naddī usī dhāre pe nahīñ bah saktī

    jis meñ maazī chitāoñ ke sivā

    jis meñ marghaT havāoñ ke sivā

    aur to kuchh bhī nahīñ kuchh bhī nahīñ hai shāyad

    aap be-kār mirī baat pe jhunjhlāte haiñ

    kaun kahtā hai ki maazī ko burā kahtā huuñ

    maiñ kahūñ ye kisī dushman ne uḌaa.ī hogī

    maiñ to kahtā huuñ ki tārīḳh ke siine se sharāre le kar

    apnī duniyā ke ḳhas-o-ḳhār jalā dūñgā

    zindagī ke sabhī aqdār samajh letā huuñ

    'mīr' aur 'dard' ke ash.ār samajh letā huuñ

    maiñ ne us sham.a lo aur baḌhā hai

    apne māhaul meñ ġhālib ne jalāyā thā jise

    maiñ to iqbāl azmat qasam khātā huuñ

    aap be-kār mirī baat pe jhunjhlāte haiñ

    baat itnī hai ki maiñ un buniyādoñ par

    ik na.e ahd taqdīr banāne ke liye

    ik na.e vaqt tasvīr banāne ke liye

    kuchh na.e saaz bajā letā huuñ

    maiñ pujārī huuñ mohabbat ke usūloñ magar

    ishqīya sher mujhe yaad nahīñ

    jin meñ seThoñ ko navāboñ ko mazā aatā hai

    jin ko pāzeb jhankār nigal jaatī hai

    mujh ko masnūī mohabbat nahīñ bhātī lekin

    maiñ ne insān pastī nishāñ dekh liyā

    kār-ḳhānoñ dhuāñ dekh liyā

    saikḌoñ saa.e bhaTakte hue larzāñ tarsāñ

    baal uljhe hue māthe pe lakīreñ raqsāñ

    apne kāñdhe pe uThā.e hue tārīḳh bojh

    apne hāthoñ se chalāte hue tahzīb naav

    bhuuk se paañv to uThte nahīñ par uThte haiñ

    aur mālik tijorī hai bharī jaatī hai

    ek mālik ke hazāroñ haiñ ġhulām

    jis tarah saikḌoñ bandoñ faqat ek ḳhudā

    aur usī ek mālik vajūd

    aur usī ek ḳhudā paikar

    haañ to maiñ aap se kahtā thā janāb

    lījiye aap to muñh phir chuke so bhī ga.e

    han to main aap se kahta tha janab

    zindagi jabr ki paband nahin rah sakti

    aur naddi usi dhaare pe nahin bah sakti

    jis mein mazi ki chitaon ke siwa

    jis mein marghaT ki hawaon ke siwa

    aur to kuchh bhi nahin kuchh bhi nahin hai shayad

    aap be-kar meri baat pe jhunjhlate hain

    kaun kahta hai ki mazi ko bura kahta hun

    main kahun ye kisi dushman ne uDai hogi

    main to kahta hun ki tariKH ke sine se sharare le kar

    apni duniya ke KHas-o-KHar jala hi dunga

    zindagi ke sabhi aqdar samajh leta hun

    'mir' aur 'dard' ke ashaar samajh leta hun

    main ne us shama ki lo aur baDha hi di hai

    apne mahaul mein ghaalib ne jalaya tha jise

    main to iqbaal ki azmat ki qasam khata hun

    aap be-kar meri baat pe jhunjhlate hain

    baat itni hai ki main un ki hi buniyaadon par

    ek nae ahd ki taqdir banane ke liye

    ek nae waqt ki taswir banane ke liye

    kuchh nae saz baja leta hun

    main pujari hun mohabbat ke usulon ka magar

    ishqiya sher mujhe yaad nahin

    jin mein seThon ko nawabon ko maza aata hai

    jin ko pazeb ki jhankar nigal jati hai

    mujh ko masnui mohabbat nahin bhati lekin

    main ne insan ki pasti ka nishan dekh liya

    kar-KHanon ka dhuan dekh liya

    saikDon sae bhaTakte hue larzan tarsan

    baal uljhe hue mathe pe lakiren raqsan

    apne kandhe pe uThae hue tariKH ka bojh

    apne hathon se chalate hue tahzib ki naw

    bhuk se panw to uThte nahin par uThte hain

    aur malik ki tijori hai bhari jati hai

    ek malik ke hazaron hain ghulam

    jis tarah saikDon bandon ka faqat ek KHuda

    aur usi ek hi malik ka wajud

    aur usi ek KHuda ka paikar

    han to main aap se kahta tha janab

    lijiye aap to munh phir chuke so bhi gae

    Source :
    • Book : Aina Khane (Pg. 78)
    • Author : Akhtar payami
    • Publication : Zain Publications (2004)
    • Edition : 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now