naya chand
aaj shab chāñd ḳhushnumā niklā
saarī duniyā kā dilrubā niklā
siiñg chhoTe haiñ do taraf nikle
ḳhushnumā nāzuk aur chamkīle
ḳhushnumā thā na chāñd aisā kabhī
sab ko sīñgoñ kī raushnī bhaa.ī
na baḌhegā umiid hai phir vo
na chaḌhegā umiid hai phir vo
kaash manzil kī us ke rah paatā
dostoñ ko bhī saath le jaatā
is fazā se jo paar hotā maiñ
jā ke us par savār hotā maiñ
baiTh jaatā maiñ beach meñ us ke
donoñ hāthoñ meñ thaam letā sire
achchhā sā hotā merā gahvāra
kis qadar dil-fareb aur pyārā
phir vahāñ se pukārtā taaro
raah se merī duur haT jaao
taaki jis dam mirī savārī chale
muft rauñde na jaao paañv tale
maiñ na jā.ūñgā vaañ se aur kahīñ
sub.h tak jhūltā rahūñgā vahīñ
dekhūñ jaatā hai merā chāñd kahāñ
aur paḌtā hai jā ke maañd kahāñ
ḳhushnumā koī āsmāñ sā nahīñ
Thaharte ham ḳhushī ḳhushī se vahīñ
dekhte vaañ tulūa sūraj kā
us munavvar charāġh kā jalvā
saare din is ko ḳhuub dekhte ham
shaam meñ phir ġhurūb dekhte ham
baiTh kar phir dhanak pe ghar aate
vaañ ke qissoñ se sab ko taḌpāte
aaj shab chand KHushnuma nikla
sari duniya ka dilruba nikla
sing chhoTe hain do taraf nikle
KHushnuma nazuk aur chamkile
KHushnuma tha na chand aisa kabhi
sab ko singon ki raushni bhai
na baDhega umid hai phir wo
na chaDhega umid hai phir wo
kash manzil ki us ke rah pata
doston ko bhi sath le jata
is faza se jo par hota main
ja ke us par sawar hota main
baiTh jata main beach mein us ke
donon hathon mein tham leta sire
achchha sa hota mera gahwara
kis qadar dil-fareb aur pyara
phir wahan se pukarta taro
rah se meri dur haT jao
taki jis dam meri sawari chale
muft raunde na jao panw tale
main na jaunga wan se aur kahin
subh tak jhulta rahunga wahin
dekhun jata hai mera chand kahan
aur paDta hai ja ke mand kahan
KHushnuma koi aasman sa nahin
Thaharte hum KHushi KHushi se wahin
dekhte wan tulua suraj ka
us munawwar charagh ka jalwa
sare din is ko KHub dekhte hum
sham mein phir ghurub dekhte hum
baiTh kar phir dhanak pe ghar aate
wan ke qisson se sab ko taDpate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.