naya chand
are bhaa.ī aḳhtar tū kyā dekhtā hai
sar-e-shām koThe pe kyoñ chaḌh gayā hai
qamar bhaa.ī aao idhar aao tum bhī
ki dekhūñ tumhārī nazar kī bhī tezī
zarā sāmne dekho surḳhī se uupar
vo bādal ke TukḌe se thoḌā sā haT kar
nazar aa gayā mujh ko haañ maiñ ne dekhā
a hā hā nayā chāñd niklā a hā hā
nayā chāñd bhī vaah kyā ḳhushnumā hai
zarā sā hai bārīk hai phāñk sā hai
ajab ḳhūbsūrat ajab pyārā pyārā
baḌe chhoTe kī aañkh kā hai ye taarā
ḳhudā ne use āsmāñ par biThāyā
ye rutba na.e chāñd ne jhuk ke paayā
use jhukne se izzat aisī milī hai
ki baḌh baḌh ke ḳhalq-e-ḳhudā dekhtī hai
sar ūñchā usī kā hai jo sar jhukā.e
tavāzo.a se har ek se pesh aa.e
na.e chāñd kī tarah gardan jhukānā
ki aa.e ziyārat ko saarā zamāna
are bhai aKHtar tu kya dekhta hai
sar-e-sham koThe pe kyon chaDh gaya hai
qamar bhai aao idhar aao tum bhi
ki dekhun tumhaari nazar ki bhi tezi
zara samne dekho surKHi se upar
wo baadal ke TukDe se thoDa sa haT kar
nazar aa gaya mujh ko han main ne dekha
a ha ha naya chand nikla a ha ha
naya chand bhi wah kya KHushnuma hai
zara sa hai barik hai phank sa hai
ajab KHubsurat ajab pyara pyara
baDe chhoTe ki aankh ka hai ye tara
KHuda ne use aasman par biThaya
ye rutba nae chand ne jhuk ke paya
use jhukne se izzat aisi mili hai
ki baDh baDh ke KHalq-e-KHuda dekhti hai
sar uncha usi ka hai jo sar jhukae
tawazoa se har ek se pesh aae
nae chand ki tarah gardan jhukana
ki aae ziyarat ko sara zamana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.