naya daur
na.e zamāne kī taknīkoñ ke chakkar meñ
kyā kyā bichhaḌ gayā kuchh yaad hai
kitābeñ almāriyoñ meñ dam ghūñT rahī haiñ
har safha adh-marā sā ho gayā hai
un kā bhaar ab logoñ se uThtā nahīñ
shāyad achānak se bahut bhārī ho ga.ī haiñ
hazāroñ ke barābar to sau-gram kā kunDal hai
panne nahīñ palTe jaate ab
bas swip kiyā jaatā hai
ghaḌiyāñ apne band baksoñ meñ band paḌī haiñ
koī ab un kī chābī nahīñ bhartā
shāyad thak jaate the bhar bhar ke
mehnat lagtī thī
ab ghaḌiyāñ haath meñ nahīñ bāñdhte
jeboñ meñ rakhte haiñ mobile
ainak dhuul khā rahā hai ghar ke kisī kone meñ
ab to vo ḳhud bhī kuchh dekh nahīñ saktā
na.ī āñkhoñ ne us kī jagah le lī hai
ab to āñkhoñ kā rañg bhī man-chāhā kar sakte haiñ
kaalā niilā piilā yā harā kuchh bhī
avon kī vo cycle chhat par paḌī jañg khā rahī hai
ab koī us ko Dhone vaalā chāhiye
ab vo kisī ko nahīñ Dho saktī
us ke badle aam amrūd bhī nahīñ le sakte ab
kāġhaz le sakte haiñ magar hare aur laal
un kāġhazoñ se phir Dabbe ḳharīd leñge
aam amrūd ke juice ke shat-partīshat vaale
chakkī ke bāToñ ke beach ab kuchh nahīñ aatā
shānt paḌe rahte haiñ jaise mar ga.e huuñ be-shak patthar the
sil-baTTe bichhaḌ ga.e haiñ ka.ī sāloñ se mile nahīñ
aur chakkī ke baañT bhī ek arse se hile nahīñ
ab chakkī aur sil-baTTe kī kaTar kaTar kī jagah
mixer grinder kī ghan ghan sunā.ī detī hai bas
jis mez par T v rakhte the
vo ab store room meñ rakhī hai
dīvār pe Tñgatī hai ab T v
mez anāth ho ga.ī hai ab
kuchh jiioñ ko khānā mil gayā
kisī kaam to aa rahī hai
ab us ko dīmak khā rahī hai
ka.ī sāloñ purānā niim kā peḌ
jo paapā ne āñgan meñ lagāyā thā
jis ne har saal taptī huī dhuup se
chhāñv de kar ham sab ko bachāyā thā
kaTvānā paḌā car nahīñ jaatī thī
beach meñ paḌtā thā rāste meñ aḌtā thā
ab garmiyoñ meñ āñgan suunā paḌā rahtā hai
saarī dopahar sannāTā pasrā rahtā hai
motī bhī nahīñ jaatā kamre meñ bhauñktā rahtā hai
ab kushtī koī nahīñ laḌtā
dekhte haiñ jo T v pe laḌte rahte haiñ
chiḌiyā ballā ballā geñd
TaañD meñ rakhe saḌte rahte haiñ
ab kanche koī nahīñ phoḌtā
sab kampaT phoḌte rahte haiñ
ab rishta koī nahīñ joḌtā
sab Tokan joḌte rahte haiñ
nae zamane ki taknikon ke chakkar mein
kya kya bichhaD gaya kuchh yaad hai
kitaben almariyon mein dam ghunT rahi hain
har safha adh-mara sa ho gaya hai
un ka bhaar ab logon se uThta nahin
shayad achanak se bahut bhaari ho gai hain
hazaron ke barabar to sau-gram ka kunDal hai
panne nahin palTe jate ab
bas swip kiya jata hai
ghaDiyan apne band bakson mein band paDi hain
koi ab un ki chabi nahin bharta
shayad thak jate the bhar bhar ke
mehnat lagti thi
ab ghaDiyan hath mein nahin bandhte
jebon mein rakhte hain mobile
ainak dhul kha raha hai ghar ke kisi kone mein
ab to wo KHud bhi kuchh dekh nahin sakta
nai aankhon ne us ki jagah le li hai
ab to aankhon ka rang bhi man-chaha kar sakte hain
kala nila pila ya hara kuchh bhi
awon ki wo cycle chhat par paDi jang kha rahi hai
ab koi us ko Dhone wala chahiye
ab wo kisi ko nahin Dho sakti
us ke badle aam amrud bhi nahin le sakte ab
kaghaz le sakte hain magar hare aur lal
un kaghazon se phir Dabbe KHarid lenge
aam amrud ke juice ke shat-partishat wale
chakki ke baTon ke beach ab kuchh nahin aata
shant paDe rahte hain jaise mar gae hun be-shak patthar the
sil-baTTe bichhaD gae hain kai salon se mile nahin
aur chakki ke banT bhi ek arse se hile nahin
ab chakki aur sil-baTTe ki kaTar kaTar ki jagah
mixer grinder ki ghan ghan sunai deti hai bas
jis mez par T w rakhte the
wo ab store room mein rakhi hai
diwar pe Tngati hai ab T w
mez anath ho gai hai ab
kuchh jion ko khana mil gaya
kisi kaam to aa rahi hai
ab us ko dimak kha rahi hai
kai salon purana nim ka peD
jo papa ne aangan mein lagaya tha
jis ne har sal tapti hui dhup se
chhanw de kar hum sab ko bachaya tha
kaTwana paDa car nahin jati thi
beach mein paDta tha raste mein aDta tha
ab garmiyon mein aangan suna paDa rahta hai
sari dopahar sannaTa pasra rahta hai
moti bhi nahin jata kamre mein bhaunkta rahta hai
ab kushti koi nahin laDta
dekhte hain jo T w pe laDte rahte hain
chiDiya balla balla gend
TanD mein rakhe saDte rahte hain
ab kanche koi nahin phoDta
sab kampaT phoDte rahte hain
ab rishta koi nahin joDta
sab Tokan joDte rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.