naya hukm-nama
kisī kā hukm hai saarī havā.eñ
hamesha chalne se pahle batā.eñ
ki un kī samt kyā hai
kidhar jā rahī haiñ
havāoñ ko batānā ye bhī hogā
chaleñgī ab to kyā raftār hogī
havāoñ ko ye ijāzat nahīñ hai
ki āñdhī kī ijāzat ab nahīñ hai
hamārī ret kī sab ye fasīleñ
ye kāġhaz ke mahal jo ban rahe haiñ
hifāzat un kī karnā hai zarūrī
aur āñdhī hai purānī in kī dushman
ye sabhī jante haiñ
kisī kā hukm hai dariyā kī lahreñ
zarā ye sar-kashī kam kar leñ apnī had meñ Thahreñ
ubharnā phir bikharnā aur bikhar kar phir ubharnā
ġhalat hai ye un kā hañgāma karnā
ye sab hai sirf vahshat kī alāmat
baġhāvat kī alāmat
baġhāvat to nahīñ bardāsht hogī
ye vahshat to nahīñ bardāsht hogī
agar lahroñ ko hai dariyā meñ rahnā
to un ko hogā ab chup-chāp bahnā
kisī kā hukm hai
is gulistāñ meñ bas ik rañg ke hī phuul hoñge
kuchh afsar hoñge jo ye tai kareñge
gulistāñ kis tarah banñā hai kal kā
yaqīnan phuul to yak-rañgīñ hoñge
magar ye rañg hogā kitnā gahrā kitnā halkā
ye afsar tai kareñge
kisī ko ye koī kaise batā.e
gulistāñ meñ kahīñ bhī phuul yak-rangīñ nahīñ hote
kabhī ho hī nahīñ sakte
ki har ik rañg meñ chhup kar bahut se rañg rahte haiñ
jinhoñne bāġh-e-yakrangīñ banānā chāhe the
un ko zarā dekho
ki jab ik rañg meñ sau rañg zāhir ho ga.e haiñ to
kitne pareshāñ haiñ kitne tañg rahte haiñ
kisī ko ye koī kaise batā.e
havā.eñ aur lahreñ kab kisī kā hukm suntī haiñ
havā.eñ hākimoñ kī muTThiyoñ meñ hathkaḌī meñ
qaid-ḳhānoñ meñ nahīñ ruktīñ
ye lahreñ rokī jaatī haiñ
to dariyā kitnā bhī ho pur-sukūñ betāb hotā hai
aur is betābī kā aglā qadam sailāb hotā hai
kisi ka hukm hai sari hawaen
hamesha chalne se pahle bataen
ki un ki samt kya hai
kidhar ja rahi hain
hawaon ko batana ye bhi hoga
chalengi ab to kya raftar hogi
hawaon ko ye ijazat nahin hai
ki aandhi ki ijazat ab nahin hai
hamari ret ki sab ye fasilen
ye kaghaz ke mahal jo ban rahe hain
hifazat un ki karna hai zaruri
aur aandhi hai purani in ki dushman
ye sabhi jante hain
kisi ka hukm hai dariya ki lahren
zara ye sar-kashi kam kar len apni had mein Thahren
ubharna phir bikharna aur bikhar kar phir ubharna
ghalat hai ye un ka hangama karna
ye sab hai sirf wahshat ki alamat
baghawat ki alamat
baghawat to nahin bardasht hogi
ye wahshat to nahin bardasht hogi
agar lahron ko hai dariya mein rahna
to un ko hoga ab chup-chap bahna
kisi ka hukm hai
is gulistan mein bas ek rang ke hi phul honge
kuchh afsar honge jo ye tai karenge
gulistan kis tarah banna hai kal ka
yaqinan phul to yak-rangin honge
magar ye rang hoga kitna gahra kitna halka
ye afsar tai karenge
kisi ko ye koi kaise batae
gulistan mein kahin bhi phul yak-rangin nahin hote
kabhi ho hi nahin sakte
ki har ek rang mein chhup kar bahut se rang rahte hain
jinhonne bagh-e-yakrangin banana chahe the
un ko zara dekho
ki jab ek rang mein sau rang zahir ho gae hain to
kitne pareshan hain kitne tang rahte hain
kisi ko ye koi kaise batae
hawaen aur lahren kab kisi ka hukm sunti hain
hawaen hakimon ki muTThiyon mein hathkaDi mein
qaid-KHanon mein nahin ruktin
ye lahren roki jati hain
to dariya kitna bhi ho pur-sukun betab hota hai
aur is betabi ka agla qadam sailab hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.