naya hukm-nama
taġhayyur kā sailāb aayā
to zanjīreñ saarī uThā le gayā
shahanshāhiyat kā
sunahrā samundar havā le ga.ī
aur sab kī nazar
ek kaale amāme kī jānib pur-ummīd ho kar uThī
sunā thā ki kaale amāme ke andar
na.e mausamoñ ke
tilismāt-ḳhānoñ kī sab kunjiyāñ haiñ
magar is amāme ke andar
nayā hukm-nāma
bahut ḳhūb-sūrat se ḳhanjar se lipTā huā so rahā thā
vo jaagā
to chāroñ taraf
ḳhuun kī badliyāñ
qatl kī āñdhiyāñ
shor karne lagīñ
gunahgār kyā
be-gunāhoñ kī saarī safeñ kaT ga.iiñ
ḳhuun hī ḳhuun har samt bahne lagā
aur sab ne lahū kī fasīloñ se dekhā
ki kaalā amāma shahanshāhiyat kā nayā ik samundar
sambhāle khaḌā thā
taghayyur ka sailab aaya
to zanjiren sari uTha le gaya
shahanshahiyat ka
sunahra samundar hawa le gai
aur sab ki nazar
ek kale amame ki jaanib pur-ummid ho kar uThi
suna tha ki kale amame ke andar
nae mausamon ke
tilismat-KHanon ki sab kunjiyan hain
magar is amame ke andar
naya hukm-nama
bahut KHub-surat se KHanjar se lipTa hua so raha tha
wo jaga
to chaaron taraf
KHun ki badliyan
qatl ki aandhiyan
shor karne lagin
gunahgar kya
be-gunahon ki sari safen kaT gain
KHun hi KHun har samt bahne laga
aur sab ne lahu ki fasilon se dekha
ki kala amama shahanshahiyat ka naya ek samundar
sambhaale khaDa tha
- Book : Hukm Nama (Pg. 22)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.