naya husn
kitnī rañgīñ hai fazā kitnī hasīñ hai duniyā
kitnā sarshār hai zauq-e-chaman-ārā.ī aaj
is salīqe se sajā.ī ga.ī bazm-e-gītī
tū bhī dīvār-e-ajantā se utar aa.ī aaj
rū-numā.ī kī ye saa.at ye tahī-dastī-e-shauq
na churā saktā huuñ āñkheñ na milā saktā huuñ
pyaar sauġhāt, vafā nazr, mohabbat tohfa
yahī daulat tire qadmoñ pe luTā saktā huuñ
kab se taḳh.īl meñ larzāñ thā ye nāzuk paikar
kab se ḳhvāboñ meñ machaltī thī javānī terī
mere afsāne kā unvān banī jaatī hai
Dhal ke sāñche meñ haqīqat ke kahānī terī
marhale jhel ke nikhrā hai mazāq-e-taḳhlīq
sa.ī-e-paiham ne diye haiñ ye ḳhad-o-ḳhāl tujhe
zindagī chaltī rahī kāñToñ pe, añgāroñ par
jab milī itnī hasīñ, itnī subuk chaal tujhe
tere qāmat meñ hai insāñ kī bulandī kā vaqār
duḳhatar-e-shahr hai, tahzīb kā shahkār hai tū
ab na jhapkegī palak, ab na haTeñgī nazreñ
husn kā mere liye āḳhirī me.aar hai tū
ye tirā paikar-e-sīmīñ, ye gulābī saarī
dast-e-mehnat ne shafaq ban ke uḌhā dī tujh ko
jis se mahrūm hai fitrat kā jamāl-e-rañgīñ
tarbiyat ne vo latāfat bhī sikhā dī tujh ko
āgahī ne tirī bātoñ meñ khilāīñ kaliyāñ
ilm ne shakkarīñ lahje meñ nichoḌe añgūr
dilrubā.ī kā ye andāz kise aatā thā
tū hai jis saañs meñ nazdīk usī saañs meñ duur
ye latāfat, ye nazākat, ye hayā, ye shoḳhī
sau diye julte haiñ umDī huī zulmat ke ḳhilāf
lab-e-shādāb pe chhalkī huī gulnār hañsī
ik baġhāvat hai ye ā.īn-e-jarāhat ke ḳhilāf
hausle jaag uThe soz-e-yaqīñ jaag uThā
nigah-e-nāz ke be-nām ishāroñ ko salām
tū jahāñ rahtī hai us arz-e-hasīñ par sajda
jin meñ tū miltī hai un rāh-guzāroñ ko salām
aa qarīb aa ki ye juuḌā maiñ pareshāñ kar duuñ
tishna-kāmī ko ghaTāoñ kā payām aa jaa.e
jis ke māthe se ubhartī haiñ hazāroñ sub.heñ
mirī duniyā meñ bhī aisī koī shaam aa jaa.e
kitni rangin hai faza kitni hasin hai duniya
kitna sarshaar hai zauq-e-chaman-arai aaj
is saliqe se sajai gai bazm-e-giti
tu bhi diwar-e-ajanta se utar aai aaj
ru-numai ki ye saat ye tahi-dasti-e-shauq
na chura sakta hun aankhen na mila sakta hun
pyar saughat, wafa nazr, mohabbat tohfa
yahi daulat tere qadmon pe luTa sakta hun
kab se taKHil mein larzan tha ye nazuk paikar
kab se KHwabon mein machalti thi jawani teri
mere afsane ka unwan bani jati hai
Dhal ke sanche mein haqiqat ke kahani teri
marhale jhel ke nikhra hai mazaq-e-taKHliq
sai-e-paiham ne diye hain ye KHad-o-KHal tujhe
zindagi chalti rahi kanTon pe, angaron par
jab mili itni hasin, itni subuk chaal tujhe
tere qamat mein hai insan ki bulandi ka waqar
duKHatar-e-shahr hai, tahzib ka shahkar hai tu
ab na jhapkegi palak, ab na haTengi nazren
husn ka mere liye aaKHiri mear hai tu
ye tera paikar-e-simin, ye gulabi sari
dast-e-mehnat ne shafaq ban ke uDha di tujh ko
jis se mahrum hai fitrat ka jamal-e-rangin
tarbiyat ne wo latafat bhi sikha di tujh ko
aagahi ne teri baaton mein khilain kaliyan
ilm ne shakkarin lahje mein nichoDe angur
dilrubai ka ye andaz kise aata tha
tu hai jis sans mein nazdik usi sans mein dur
ye latafat, ye nazakat, ye haya, ye shoKHi
sau diye julte hain umDi hui zulmat ke KHilaf
lab-e-shadab pe chhalki hui gulnar hansi
ek baghawat hai ye aain-e-jarahat ke KHilaf
hausle jag uThe soz-e-yaqin jag uTha
nigah-e-naz ke be-nam ishaaron ko salam
tu jahan rahti hai us arz-e-hasin par sajda
jin mein tu milti hai un rah-guzaron ko salam
aa qarib aa ki ye juDa main pareshan kar dun
tishna-kaami ko ghaTaon ka payam aa jae
jis ke mathe se ubharti hain hazaron subhen
meri duniya mein bhi aisi koi sham aa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.