naya insan nai fikr
besh-az-la.al-o-gohar naqd-o-nazar le jaao
jo mire sher meñ hai ḳhūn-e-jigar le jaao
dil kī māyūs fazāoñ meñ ujālā kar do
mere afkār kī tābinda sahar le jaao
mazhab-o-nasl kī tafrīq miTā do dil se
merā jazba mirā dil merī nazar le jaao
ḳhirman-e-jaur-o-ta.assub ko jalā do yaksar
ātish o sho.ala o sad barq-o-sharar le jaao
sub.h ke nuur se rātoñ kā muqaddar badlo
zulmat-e-shab hai jahāñ shams-o-qamar le jaao
kisī insān ko nafrat se na dekho hargiz
merī āñkhoñ se mohabbat kī nazar le jaao
manzileñ ā.eñgī ḳhud baḌh ke qadam chūmeñgī
koī manzil ho mirā azm-e-safar le jaao
aaj insāñ kā ḳhudā hī nahīñ maz.hab bhī hai ek
na.e insāñ se na.ī fikr-o-nazar le jaao
muntazir hai na.ī tārīḳh sañvarne ke liye
merā jazba mirā tesha mirā sar le jaao
besh-az-lal-o-gohar naqd-o-nazar le jao
jo mere sher mein hai KHun-e-jigar le jao
dil ki mayus fazaon mein ujala kar do
mere afkar ki tabinda sahar le jao
mazhab-o-nasl ki tafriq miTa do dil se
mera jazba mera dil meri nazar le jao
KHirman-e-jaur-o-tassub ko jala do yaksar
aatish o shoala o sad barq-o-sharar le jao
subh ke nur se raaton ka muqaddar badlo
zulmat-e-shab hai jahan shams-o-qamar le jao
kisi insan ko nafrat se na dekho hargiz
meri aankhon se mohabbat ki nazar le jao
manzilen aaengi KHud baDh ke qadam chumengi
koi manzil ho mera azm-e-safar le jao
aaj insan ka KHuda hi nahin mazhab bhi hai ek
nae insan se nai fikr-o-nazar le jao
muntazir hai nai tariKH sanwarne ke liye
mera jazba mera tesha mera sar le jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.