ek arse se
jazbāt-o-ehsās kī vādī-e-ishq kī bastī
na.e purāne sabhī makān tamannāoñ ke
khulī chhateñ ahd-o-paimāñ kī
band jharoke ke ārzūoñ ke
nīm-shikasta dīvār-o-dar armānoñ ke
ummīdoñ ke ūñche nīche lambe chauḌe
giile aur pathrīle raste
rāhat ke ashjār sukūñ kī duub tarab kī ḳhud-rav beleñ
rañg-birañgī soch ke phūloñ kī shatranjī
mahrūmī kī ūñchī choTī
tanhā.ī kī jān-levā Dhalvān dukhoñ kī saḳht chaTTāneñ dard kī khaa.ī
sab par yaas kī barf jamī thī
chāroñ jānib
ThanDī aur be-jān safedī phail rahī thī
jīvan kyā thā ek kafan thā
jis ke andar
ḳhud ko apne yaḳh-basta siine se lagā.e
maiñ ik zinda laash kī sūrat paḌā huā thā
dil ke vīrāne meñ kuchh be-chehra lamhe
āsebī sāyoñ kī sūrat
kaañp rahe the haañp rahe the
aaj achānak
ek parī-chehra
mere chehre se be-rañg kafan sarkā kar
mere kaan meñ sargoshī kī
merī aañkh meñ jhāñk kar bolī
uTh aur dekh
tire dil kī be-ḳhabar dhaḌkan meñ
kitnā pyārā kitnā dil-āvez siyāh gulāb khilā hai
ek arse se
jazbaat-o-ehsas ki wadi-e-ishq ki basti
nae purane sabhi makan tamannaon ke
khuli chhaten ahd-o-paiman ki
band jharoke ke aarzuon ke
nim-shikasta diwar-o-dar armanon ke
ummidon ke unche niche lambe chauDe
gile aur pathrile raste
rahat ke ashjar sukun ki dub tarab ki KHud-raw belen
rang-birangi soch ke phulon ki shatranji
mahrumi ki unchi choTi
tanhai ki jaan-lewa Dhalwan dukhon ki saKHt chaTTanen dard ki khai
sab par yas ki barf jami thi
chaaron jaanib
ThanDi aur be-jaan safedi phail rahi thi
jiwan kya tha ek kafan tha
jis ke andar
KHud ko apne yaKH-basta sine se lagae
main ek zinda lash ki surat paDa hua tha
dil ke virane mein kuchh be-chehra lamhe
aasebi sayon ki surat
kanp rahe the hanp rahe the
aaj achanak
ek pari-chehra
mere chehre se be-rang kafan sarka kar
mere kan mein sargoshi ki
meri aankh mein jhank kar boli
uTh aur dekh
tere dil ki be-KHabar dhaDkan mein
kitna pyara kitna dil-awez siyah gulab khila hai
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 221)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.