naya janm
udāsī ke āñgan meñ
mahrūmiyoñ ke gulāboñ kī ḳhushbū
mirī saañs ke rāstoñ se guzar kar
garm laave kī sūrat ragoñ meñ bahī jā rahī hai
mujhe ghar kī dīvār-o-dar meñ
ummīdoñ kī parchhā.iyoñ kā vo nauha
nazar aa rahā hai
jo saut-o-sadā kī muqayyad fazā se nikal kar
mujassam huā jā rahā hai
raat kī sab siyāhī mirī aañkh se
mire jism-o-jāñ meñ utartī chalī jā rahī hai
ik ḳhalā mere andar huvaidā huā hai
maiñ is kaifiyat kā maza le rahā huuñ
jise kā.enāt āfrīnash ke lamhoñ meñ mahsūs kartī rahī hai
harf saut-o-sadā
lafz ma.anī kī gahrā.iyoñ se muzayyan nahīñ haiñ
abhī naam se kaam se aur anjām se
mujh meñ taḳhlīq hotī huī koī shai se
mere andar kā aadam shanāsā nahīñ hai magar
kyā ye kam hai mujhe āgahī ne
nayā ik janam de diyā hai
udasi ke aangan mein
mahrumiyon ke gulabon ki KHushbu
meri sans ke raston se guzar kar
garm lawe ki surat ragon mein bahi ja rahi hai
mujhe ghar ki diwar-o-dar mein
ummidon ki parchhaiyon ka wo nauha
nazar aa raha hai
jo saut-o-sada ki muqayyad faza se nikal kar
mujassam hua ja raha hai
raat ki sab siyahi meri aankh se
mere jism-o-jaan mein utarti chali ja rahi hai
ek KHala mere andar huwaida hua hai
main is kaifiyat ka maza le raha hun
jise kaenat aafrinash ke lamhon mein mahsus karti rahi hai
harf saut-o-sada
lafz mani ki gahraiyon se muzayyan nahin hain
abhi nam se kaam se aur anjam se
mujh mein taKHliq hoti hui koi shai se
mere andar ka aadam shanasa nahin hai magar
kya ye kam hai mujhe aagahi ne
naya ek janam de diya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.