naya makan
chalo makāñ kī musībat se bhī najāt milī
ye ḳhvāb-gah, ye kitchen, ġhusl-ḳhāne aur baiThak
maiñ sochtā huuñ mujhe sochne ko baat milī
huī haiñ sirf mashaqqat kī koshisheñ an-thak
nazar-rubā dar-o-dīvār ke banāne meñ
ye qumqume ye tamaddun kī iḳhtirā-e-jadīd
baḌhī zalālat-e-idrāk tīrgī na miTī
ye sīḌhiyāñ haiñ nigāhoñ ke pech kī maz.har
hayāt kī koī pechīdgī na duur huī
magar maiñ mahv huuñ idbār ke miTāne meñ
ye sīḌhiyāñ haiñ jo in par se gir paḌe koī
barī ghaḌī na ḳhudā laa.e jaane kab aa jaa.e
ye chiknā farsh ise dekhtā rahe koī
jo kal ko paañv tumhārā kahīñ phisal jaa.e
ḳhudā karam kare merā to dam nikal jaa.e
maiñ sochtā huuñ mujhe soch kā junūñ jo huā
ye mere zehn kā māhaul pur-fusūñ jo huā
ye merā zehn mujhe le chalā hai duur kahīñ
vahāñ jahāñ kabhī pahle bhī thā makāñ apnā
falak ke saa.e meñ ham the kabhī panāh-guzīñ
ye farsh-e-ḳhāk thā qālīn-e-zar-fashāñ apnā
ye mahr o maah ye taare the apne ghar ke diye
gul-o-gayā se hai labrez pur-bahār zamīñ
jilau meñ husn liye dāvat-e-nazar ke liye
kabhī hamāre liye thī nashist-gāh-e-hasīñ
ye zulf pech se begāna mauj-e-sahbā thī
ki jis kā barsoñ mirī uñgliyāñ rahīñ shānā
ye terī hamdamī ik kaifiyat thī nashsha bhī
jahāñ bhī chāhnā fauran vahīñ chale jaanā
vo sub.h sāhil-e-dariyā vo shaam zer-e-chīnār
guzar ga.ī vo masarrat kī sub.h-o-shām apnī
hamāre dosh pe jab thā na jabr-o-qadr kā baar
chalo chalo ye hikāyat hai talḳh-kām apnī
uTho uTho dar-o-dīvār ko sajānā hai
makāñ ko ghahnoñ-ladī ik dulhan banānā hai
chalo makan ki musibat se bhi najat mili
ye KHwab-gah, ye kitchen, ghusl-KHane aur baiThak
main sochta hun mujhe sochne ko baat mili
hui hain sirf mashaqqat ki koshishen an-thak
nazar-ruba dar-o-diwar ke banane mein
ye qumqume ye tamaddun ki iKHtira-e-jadid
baDhi zalalat-e-idrak tirgi na miTi
ye siDhiyan hain nigahon ke pech ki mazhar
hayat ki koi pechidgi na dur hui
magar main mahw hun idbar ke miTane mein
ye siDhiyan hain jo in par se gir paDe koi
bari ghaDi na KHuda lae jaane kab aa jae
ye chikna farsh ise dekhta rahe koi
jo kal ko panw tumhaara kahin phisal jae
KHuda karam kare mera to dam nikal jae
main sochta hun mujhe soch ka junun jo hua
ye mere zehn ka mahaul pur-fusun jo hua
ye mera zehn mujhe le chala hai dur kahin
wahan jahan kabhi pahle bhi tha makan apna
falak ke sae mein hum the kabhi panah-guzin
ye farsh-e-KHak tha qalin-e-zar-fashan apna
ye mahr o mah ye tare the apne ghar ke diye
gul-o-gaya se hai labrez pur-bahaar zamin
jilau mein husn liye dawat-e-nazar ke liye
kabhi hamare liye thi nashist-gah-e-hasin
ye zulf pech se begana mauj-e-sahba thi
ki jis ka barson meri ungliyan rahin shana
ye teri hamdami ek kaifiyat thi nashsha bhi
jahan bhi chahna fauran wahin chale jaana
wo subh sahil-e-dariya wo sham zer-e-chinar
guzar gai wo masarrat ki subh-o-sham apni
hamare dosh pe jab tha na jabr-o-qadr ka bar
chalo chalo ye hikayat hai talKH-kaam apni
uTho uTho dar-o-diwar ko sajaana hai
makan ko ghahnon-ladi ek dulhan banana hai
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 319)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.