naya maktab
ham chāñd nagar par jaate hī kholeñge ek nayā maktab
ta.alīm na hogī jis meñ kabhī sab āzādī se ghūmeñge
ustād paḌheñge darjoñ meñ ham log ḳhushī se ghūmeñge
schōl na jā kar bāġhoñ meñ tafrīh kareñge be-matlab
ham chāñd nagar par jaate hī kholeñge ek nayā maktab
paḌhne ke liye bachchoñ ko jahāñ murġhā na banāyā jā.egā
chāñTe na jamā.e jā.eñge DanDoñ se na piiTā jā.egā
ustād ke maulā-baḳhsh jahāñ dikhlā na sakeñge kuchh kartab
ham chāñd nagar par jaate hī kholeñge ek nayā maktab
jo yaad karegā ḳhuub sabaq tā-umr na hogā paas vahī
jo khel meñ legā dilchaspī paḌhne meñ na hogā fail kabhī
dar-asl hamāre maktab kā hogā har ik dastūr ajab
ham chāñd nagar par jaate hī kholeñge ek nayā maktab
jis din bhī paḌā bīmār koī schōl meñ hogā holiday
do buuñd bhī paanī barsā to ho jā.egā fauran rainy day
hafte meñ to kam se kam chhe din itvār manāeñge ham sab
ham chāñd nagar par jaate hī kholeñge ek nayā maktab
kheleñge kabhī jab ham cricket to ḳhuub uḌā.eñge chhakke
hockey meñ dikhā.eñge vo hunar rah jā.eñge sab hakke-bakke
har team se matcheñ jītegā ham logoñ kā fōtbāl club
ham chāñd nagar par jaate hī kholeñge ek nayā maktab
hum chand nagar par jate hi kholenge ek naya maktab
talim na hogi jis mein kabhi sab aazadi se ghumenge
ustad paDhenge darjon mein hum log KHushi se ghumenge
school na ja kar baghon mein tafrih karenge be-matlab
hum chand nagar par jate hi kholenge ek naya maktab
paDhne ke liye bachchon ko jahan murgha na banaya jaega
chanTe na jamae jaenge DanDon se na piTa jaega
ustad ke maula-baKHsh jahan dikhla na sakenge kuchh kartab
hum chand nagar par jate hi kholenge ek naya maktab
jo yaad karega KHub sabaq ta-umr na hoga pas wahi
jo khel mein lega dilchaspi paDhne mein na hoga fail kabhi
dar-asl hamare maktab ka hoga har ek dastur ajab
hum chand nagar par jate hi kholenge ek naya maktab
jis din bhi paDa bimar koi school mein hoga holiday
do bund bhi pani barsa to ho jaega fauran rainy day
hafte mein to kam se kam chhe din itwar manaenge hum sab
hum chand nagar par jate hi kholenge ek naya maktab
khelenge kabhi jab hum cricket to KHub uDaenge chhakke
hockey mein dikhaenge wo hunar rah jaenge sab hakke-bakke
har team se matchen jitega hum logon ka footbaal club
hum chand nagar par jate hi kholenge ek naya maktab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.