naya manzar-nama
ye lamha jo guzar rahā hai
aur vaqt jo biit rahā hai
yahī azal hai yahī abad hai
yahī abhī hai yahī sadā hai
umr-e-guzishta ik dhokā hai
gahrā dhokā
aate jaate saare mausam
ik mausam kā ā.īna haiñ
zāhir hai bātin kī jānib
manzar se pas-manzar ko
jo rasta hai
us ke aage aur pīchhe kī
sab āvāzeñ be-ma.anī haiñ
ye lamha jo guzar raha hai
aur waqt jo bit raha hai
yahi azal hai yahi abad hai
yahi abhi hai yahi sada hai
umr-e-guzishta ek dhoka hai
gahra dhoka
aate jate sare mausam
ek mausam ka aaina hain
zahir hai baatin ki jaanib
manzar se pas-manzar ko
jo rasta hai
us ke aage aur pichhe ki
sab aawazen be-mani hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.