naya marhala
shahr ke bāhar
pahāḌī par
vo āñkheñ band kar ke
ruuh ke mutlaq sukūñ meñ
mahv ho jaanā
du'ā kā marhala thā
ab pahāḌī se utar aayā huuñ maiñ
aur shahr meñ
āñkheñ khulī rakhnā
badan ko izhdihām-e-ḳhalq se
mahfūz rakhnā
har nafas darkār hai
vo bhiiḌ hai
harf-e-du'ā hai
shahr ke bahar
pahaDi par
wo aankhen band kar ke
ruh ke mutlaq sukun mein
mahw ho jaana
du'a ka marhala tha
ab pahaDi se utar aaya hun main
aur shahr mein
aankhen khuli rakhna
badan ko izhdiham-e-KHalq se
mahfuz rakhna
har nafas darkar hai
wo bhiD hai
harf-e-du'a hai
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 106)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.