naya sal
āsmān ke sab kivāḌe khol do
aur is bujhī-bujhī dhartī ko
kā.enātī kirnoñ kī
sīmābī raushniyoñ se nahlā do
kāmnāoñ ke sunahre tāroñ se jagmagātā
laal joḌā ise pahnāo
ḳhushiyoñ kī sandal se maañg bharo
aur māthe par
ummīd kī
jhilmilātī Tiklī lagā kar
be-qarār tamannāoñ kī chulbulī
sharīr uñgliyoñ se
use itnā gudgudāo
ki vo khilkhilā kar hañs paḌe
hamārā anā-o-akelā-pan
TūTne vaalā hai
ham ne zohra kī peshānī chuum lī hai
aur chāñd ke gale meñ bāheñ Daal dī haiñ
mirrīḳh ke burjoñ se
ab jangī naqqāroñ kī nahīñ
pyaar aur mohabbat
aman aur masarrat kī
surīlī shahnā.iyāñ
sunā.ī dene lagī haiñ
insān kī barāt
baḌe dhuum se
nikalne vaalī hai
aasman ke sab kiwaDe khol do
aur is bujhi-bujhi dharti ko
kaenati kirnon ki
simabi raushniyon se nahla do
kaamnaon ke sunahre taron se jagmagata
lal joDa ise pahnao
KHushiyon ki sandal se mang bharo
aur mathe par
ummid ki
jhilmilati Tikli laga kar
be-qarar tamannaon ki chulbuli
sharir ungliyon se
use itna gudgudao
ki wo khilkhila kar hans paDe
hamara ana-o-akela-pan
TuTne wala hai
hum ne zohra ki peshani chum li hai
aur chand ke gale mein bahen Dal di hain
mirriKH ke burjon se
ab jangi naqqaron ki nahin
pyar aur mohabbat
aman aur masarrat ki
surili shahnaiyan
sunai dene lagi hain
insan ki baraat
baDe dhum se
nikalne wali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.