Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naya sal mubarak

Iqbal Umar

naya sal mubarak

Iqbal Umar

MORE BYIqbal Umar

    aa bād-e-sabā aa ki nayā saal mubārak

    jald ḳhabar ki nayā saal mubārak

    ḳhāmosh na ho jaa.eñ kahīñ dhaḌkaneñ dil

    āvāz diye ki nayā saal mubārak

    phūTīñ to kisī samt se ummīd kirneñ

    ai raat kahe ki nayā saal mubārak

    kyā ḳhuub hai ik hamdam-e-derīna milnā

    aur mil ke ye kahnā ki nayā saal mubārak

    shānoñ pe bikharne huī riit purānī

    ai zulf sañvar ki nayā saal mubārak

    ḳhvābīda tamannāoñ ko bedār to kar luuñ

    ai vaqt Thahar ki nayā saal mubārak

    dāman tirā ḳhālī hai to ai vaqt tujhe kyā

    kah ke guzar ki nayā saal mubārak

    pyāsoñ ke muqaddar meñ na aaya koī qatra

    kahtā rahā dariyā ki nayā saal mubārak

    ḳhūbān-e-vatan bhuul ga.e ab ke baras bhī

    'iqbāl' se kahnā ki nayā saal mubārak

    aa baad-e-saba aa ki naya sal mubarak

    la jald KHabar la ki naya sal mubarak

    KHamosh na ho jaen kahin dhaDkanen dil ki

    aawaz diye ja ki naya sal mubarak

    phuTin to kisi samt se ummid ki kirnen

    ai raat kahe ja ki naya sal mubarak

    kya KHub hai ek hamdam-e-derina ka milna

    aur mil ke ye kahna ki naya sal mubarak

    shanon pe bikharne ki hui rit purani

    ai zulf sanwar ja ki naya sal mubarak

    KHwabida tamannaon ko bedar to kar lun

    ai waqt Thahar ja ki naya sal mubarak

    daman tera KHali hai to ai waqt tujhe kya

    tu kah ke guzar ja ki naya sal mubarak

    pyason ke muqaddar mein na aaya koi qatra

    kahta raha dariya ki naya sal mubarak

    KHuban-e-watan bhul gae ab ke baras bhi

    'iqbaal' se kahna ki naya sal mubarak

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now